View Single Post
Old
  (#10)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
25th January 2013, 08:56 PM

Quote:
swaal 1 , Is Shayari the urdu meaning of poetry ?
jee haaN .
mager phir bhee thoRee see mazeed jaankaaree daita chaloN

Shaai'ree = she'r kehna , she'r goee

ab sawal hai she'r kiyaa hai. iskey baary meiN thoRee see baat ker laity haiN.

she'r = suKhan jis meiN wazn aur qaafia ho aur doo hum wazn miSro'oN per mushtamil hoo , moozooN kalaam

suKhan = baat , guftagoo , kalaam , qaul
miSro'oN = miSra' ki jamaa
miSra' = she'r ke aadhy HiSah ko miSra' kehty haiN (miSra' ke lafzee maa'nee haiN darwaza ka aadha HiSah.)
moozooN = wazn kiya huwa , tulaa huwa , jo taQtee' maiN theek ho
mushtamil = shareek hony waala , shamil hony waala

she'r ka lafz "shao'or" sey niklaa hai jis key lafzee ma'nee haiN "Jaan.na"

gooyaah yeh kehnaa bhee darust hee ho gaa keh she'r insaanee jazbaatoN ya aHsaasoN ka woh khoobSoorat izhaar hai jo moozooN kalaam se insaanee sha'oor ko mutaCir kerta hai .
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote