View Single Post
Re: raat ko koyee bante kaise
Old
  (#7)
mehul jain
haatho se haath milte rah
mehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the rough
 
mehul jain's Avatar
 
Offline
Posts: 1,429
Join Date: Feb 2005
Location: mumbai
Rep Power: 23
Re: raat ko koyee bante kaise - 5th March 2006, 07:17 PM

Quote:
Originally posted by masoomshayer
pyar ko koyee bante kaise
tera mera chhante kaise

chubhta nahee kuch bhee chhoo lo
pyar main kante kante kaise

seene se lag agar na rote
dil kee aag bujhate kaise

ansu kee gar rah na bantee
khabon main woh aate kaise

neend bhee mange khab bhee mangen
raat ko koyee bante kaise

chand se sundar kah to dete
chand ko par samjhate kaise
chand khafa ho jata gar to
ghar kee chhat par jate kaise
ghar kee chhat pa na jate to
un se nazar milate kaise
un se nazar nahee miltee to
chand ko chand dikhate kaise
chand se sundar kah to dete
chand ko par samjhate kaise

ro kar un ko wida jo karte
mera nam bhulate kaise

Anil
pyar ko nibha nahi paye hum
kisi se rishta jod nahi paye hum
sochte the sahi hai hum
asar mai galat hi galat the hum......................

bahut badiya bahut pasand aayi yeh kavita


meri har chahat se pehle ek chahat hogi
wo chahat hamesha tum hogi
ab to chahna hi reh gaya hai zindagi main
na jane yeh chahat kab puri hogi
   
Reply With Quote