View Single Post
Old
  (#18)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
30th June 2014, 09:52 AM

Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
zarraa ji aapki muhabbatoN ke liye tah-e-dil se mashkoor-o-mamnoon hooN....KhayaaloN ko bulandi dena aap khoob jaante haiN ....khaaksaar kii ek adnaa sii peshkash par aapki pasandagi mere khyaaloN ko roushan kar gayii jiske liye maiN beintaha aabhaari hooN....
Zarra sahab jahaN tak Urdu ke ilm ka sawaal hai maiN shayad yahaaN sabse kamtar hi huN.......sirf kaanoN par padne waale shabdoN ke siwa shayad hi kabhi ajnabhi shabd istemaal kiye hoN.....our aise shabd jinke liye readers ko dictionary ka istemaal karna pade....abhi tak bahut kam kiya hai....ab aap jaise shou'ra ke zariye sach meiN urdu ke shabdoN ka istemaal shayd kuchh baRh jaaye.....
naye likhne walo ki fehrist meiN hamara naam zaroor likh leejiyega....jinke lie ye baat bahut aham hai ki ham koshish toh karen ye hamari khushnaseebi hai ki group me aap jaise (wo log jinhone ye thread shuru kiya) mashoor-o-maroof shayar hamare sath hain so hameiN agar qata'at aur muktakon ya rubai ki koi bhi baareeki sikhni hai ya koi mashwara lena hai to ham yahaaN salah le sakte hain.

Zarra sahab......ye lafz "fasooN-gari" is liye kiya kyuN ki ismeiN inner act or art(ilm) hai .jaise jadu-gari, kaari-gari, ...physical art nahiN... other words jo physical act se hote haiN unmeiN "kaari" lafz istemaal hota hai jaise adaa-kaari, meena-kaari etc..., but actual meiN kya hai aap Urdu-daan log ziyaada achhe tareeke se bataa sakte haiN....Maie to ye lafzi istemaal ke tareeke se hi isey istemaal kiya hai.....
Is lafz ke mutallaq maiN pahli dafa hi jaan paa raha huN.... 100% mere ilm meiN izafa hone wala hai....

Shukriyaa ek baar phir

Saabhaar

Harash Mahajan
Is mohabbat bhare reply ka bahaut bahaut shukriya Harash ji.

Aap ka inner act aur physical act ka point to BRILLIANT hai !! waah sahab kya nukta pesh kiya hai !! mujhe aap ki baat se ittefaaq ho raha hai. is hisaab se fusoon gari hi sahi hai. Chaliye ek badhiya nukte par sekhne ko mila mujhe. Thank you sir !!

PS : waise main bhi koyee Urdu daan naheen. Bas Idhar udhar se jod tod kar ke kaam chala raha hoon isiliye seekhne ki itni bhookh hai mujh mein !


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote