View Single Post
Old
  (#17)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
13th October 2005, 02:03 PM

Hum yahan duurr baithe hai, aur samajh sakte hain ke unn logoN par kya guzri hogi. Zydaada tar sathiyoN ke mann mein yeh baat aati hogi ke kya haasil hai sirf baat karne se... lekin agar hum yahan iss mudde par baat karte hain, apne jazbaat bayaan karte hain matlab ke insaaniyat hamaare seenoN mein abb bhi pal rahi hai. Kayee log aise hai jinko koi farq nahi paDta iss kism ke haadsoN se. Hame chahiye ke poori koshish kareN kuch taaoon karne ki, aur agar na bann paRe to dua karein.

Shimul ji i really apprecite the effort here. and Mast bhai aapne bohot umdaa kalaam pesh kiya....


ik pal mein ujaada hai jo barsoN mein banaa hai.
ghar mera na raha mere ehsaas fanaa hai.
woh dekho seena taan ke baitha hai arsh par,
aur humko to takdeer pe rona bhi manaa hai.

kitne hue apang aur kitne marr gaye,
masoom khilkhilate chehre utar gaye,
lashoN ki hai qataar, pur-marg hai fiza,
suraj hai sar pe lek andhera tau ghanaa hai.

malbe ke niche kitne hi bacchoN ki laash hai,
ek maa ko apne lakht-e-jigar ki talaash hai,
ek beTa apne baap ko dhunDhe gali gali,
wehshat se saraa shahar hi diwaana bana hai.

dekho tua aspitaal mein shamsaan bann gaya,
iss haadse ka ruuh pe nishaan bann gaya,
yeh tune kiya tau kaise tu bhagwaan bann gaya,
nahi maanta mein tujhko yeh meri anaa hai.

abb peT mein danaa hai na kapde hai badan par,
kiski lagi manhoos nazar apne chaman par,
kuch log hai iss waaqiye se itne pareshaan,
"accha hua ke marr gaye" yeh kehte sunaa hai.

dekho aye duniyawaloN Qayamat kareeb hai,
Dhanwaan salaamat rahe, marte gareeb hai,
hota hai aaj kal jo, woh behad ajeeb hai,
kaisa jaal hai yeh kiske gunahoN se bunaa hai?


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote