View Single Post
Old
  (#7)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
Post 16th April 2009, 02:30 PM

Wah Wah Wah .................. Kya ahsas hai Diya jii har line's haqeekhat bayan karti hai,
aur aapne ise baqubi pesh bhi kiya Daad kabul kijiye, Aur likhti rahiye.

Quote:
Originally Posted by Diya_Jale View Post

Har koi nibhaaey yeh duniya daari babul
beti vidaa karne kii teri hai baari babul

Chhor ke chali jayegi beti maayka apna
sunehri yaadeiN bachpan ki saari babul

Rah jayenge pichhe apne khoon k rishte
yeh duniyaa ki reet kitni niyaari babul

Maa ke aanchal ki chaw jab naa milegi
khoob royegi tab teri raaj-dulaari babul

Saat feroN me banega rishta saat janam ka
fir paraaii ho jayegi beti tumhaari babul

Kaise jiyegi Maa judai beti ki seh kar
ye rasm padegi uspe bahot bhaari babul

Teri har yaad ko dil mein basa kar Diya
ho jayegi apne saajaN kii pyaari babul


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote