Thread: Chat box
View Single Post
Old
  (#255)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
13th August 2014, 02:47 PM

Shoaibbhai,
maafee chaahtaa hooN agar niyamoN kaa ulangan kiya hai.. magar maiN interview ke thread pe javaab nahi dunga jab tak ye maslaa sulajh na jaaye....

kyuN ki jahaaN sirf ek aupchaarikta hi nibhaani ho to wo hameN ganvaaraa nahi.. vaise aapne savaal kar hi liye haiN to unke javaab me yahaaN deta hooN..


1) lafzon ki kareegaree kis had tak aham hotii hai kisii shayriii me.... kathin lafz ya simple lafz hone se kyaa shayari ki behtaree me kuchh farq hota hai ya hona chahiye.....
ANS: maiN apne aap ko iis savaal ka javaab dene ke qaabil nahi samajhtaa. vaise mere hisaab se wo ek shaayar ki khud ki choice hai.

2) shaayar ko deewaana bhi kaha jaata hai, kyonki aksar deewaangee ki khumaari me doob kar hi khayaal utarte hain... aap kya is baat se sahmat hain.... agar haan to deewaane ko kyaa duniyaadaari me padna chahiye....
ANS: mere hisaab se ye sahi baat hai ki ek divaanaa hi shaayar ho sakta ho aur ek shaayar divaanaa hi hota hai. aur divaanaa saniyaasi to nahi hota? aur agar wo duniyadaari meN nahi uljhega to uskii divaangi bhii khatm ho jaayegi vaise ye duniya hi to hameN divaanaa banaati hai .. misaal yahiN pe hai

3) shaayar koii shoqiyaa hotaa hai ya majbuuran....... aap kya samjhte hain.
ANS: shaayri ka shauq zyaadaatar majboori se hi paida hota hai , to shaayar ek majburii se paida hue shauq ka anjaam hai.

4) kahte hain puuraani muhabbat bhulaae nahi bhulltii.... kabhi kaha jaata hai waqt har zakhm bhar detaa hai.... in me se kon si baat aap sahi smajhte hain..
ANS: Bhai, hamne to bhula di aur aage bhii nikal gaye .. auroN ka pataa nahi...



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote