View Single Post
Some shayries on Friendship.
Old
  (#1)
Merul
Registered User
Merul will become famous soon enoughMerul will become famous soon enough
 
Merul's Avatar
 
Offline
Posts: 1,008
Join Date: Feb 2006
Location: India (Surat)
Rep Power: 21
Some shayries on Friendship. - 5th August 2007, 10:34 AM

Dosto friendship day ke is pyaare mauke par mein aapke samne kuch shayri pesh karna chahta hu.. dosto ye meri likhi hui nahi hai, it's from my collections.

Sab ne kaha dosti ek dard he,
Humne kaha ye dard Kabul he,
Sabne kaha is dard ke sath ji nahi paoge,
Humne kaha teri dosti ke sath marna bhi Kabul he.

Zindgi ke tufan me sahil he teri dosti,
Dil ke armano me manzil he teri dosti,
Jindagi ban jayegi jannat agar,
Maut tak sath rahegi teri dosti.

Tujhe hi apna mukaddar batate he hum,
Khuda se pehle tere aage sar jukate he hum,
Dosti ka rista kabhi tod na dena,
Jis riste ked dum pe muskurate he hum.

Teri muskurahat meri pehchan he,
Teri khusi meri jaan he,
Kuch bhi nahi meri jindgi bas itna samajle,
Teri dosti hi meri shaan he.

Dil se dil juda nahi hote,
Yuhi kisi par fida nai hote,
Pyar se bada to dosti ka rista he,
Kyu ki dost kabhi bewafaa nahi hote.

Hum jite har baazi tabhi mashur ho gaye,
Teri hasi me hase to aansu dur ho gaye,
Bas ek tere jaise dost ki badolat hain,
Mere dost aaj hum kanch se Kohinoor ban gaye.



aapke hausla afzzai ka intezaar rahega
ummid hai aap har baar ki tarah mujhe sarahenge
aapka dost
Merul


!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!





Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se me naraz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal du,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.


Merul~~~~~~~~~~>
  Send a message via Yahoo to Merul  
Reply With Quote