So is this one :) -
29th March 2013, 11:31 PM
meri wafaa ka tera lutf bhi jawaab nahiiN
mere shabaab Ki keemat tera shabaab nahiiN
yeh maahtaab nahiiN hai Ki aaftab nahiiN
sabhi hai husn, magar ishq Ka jawaab nahiiN
meri nigaah meiN jalwe haiN jalwe hi jalwe
yahaaN hijaab nahiiN hai, yahaaN naqaab nahiiN
junooN bhi hadh se siva, shauq bhi hai hadh se siva
yeh baat Kya hai Ki maiN moored-e-ataab nahiiN
yahaaN to husn Ka dil bhi hai Gham se sad-paara
maiN kaamyaab nahiiN voh bhi kamyaab nahiiN
yahaaN to raat Ki bedaariiyaaN musallam haiN
magar vahaaN bhi hasiiN ankhdiyoN meiN khwaab nahiiN
na puuchhiye meri duniya ko, meri duniya meiN
khud aaftaab bhi zarra hai, aaftaab nahiiN
'Majaz' kis ko maiN samjhaauN, koi kya samjhe
ki kamyaab muhabbat bhi kaamyaab nahiiN
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|