View Single Post
mirza ghalib ke ek sher
Old
  (#1)
smack_07078
Registered User
smack_07078 will become famous soon enoughsmack_07078 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Jan 2004
Location: ~INDIA~ Hyderabad
Rep Power: 22
Post mirza ghalib ke ek sher - 12th September 2004, 01:24 AM

darasal hua yun ke mirza ghalib ke ek sher par hum ne apni shayri daao par laga di,aur shart haar bhi gaye aur likhne ka silsila ruk gaya. Ab mere azeez ne apni shart wapas le li hai to hazir hoon………
Baharhaal ek safar ke dauran likhe chand misre apki khidmat main pesh hain………

Abhi nikli hai choo kar ke dil ki mere daali,
Woh ladki hai ya hai koi hawaa matwaali.

Khile poora badan zara jo muskara de woh
Dikhe masoom , chanchal, shokh adaa waali.

Woh gesu hain, ya badal athkheliyaan karte,
Surahidaar gardan bhi hai kya khoob niraali.

Gulaabon main bhi na dekha wo gulaabipan,
Jo lab se hai numaaya, gulaabi pankhudi waali.

Ghaneri palkon ka bhi johar kuch niraala hai,
Woh pal main din aur pal main raat hai kaali.

Chupa rakhe hain na jane kitne raaz aankhon main,
Woh jheel si gehri aankhein, jiski hain paataali.

Jo chaahe pad le chehre pe, bilkul saaf hai likha,
Na jaane kitni nazrein guzri hongi hasraton waali.

Mehektaa lamba tan jiski woh khudzaat hai maalik,
Chaal bhi kya khoob paai hai pagdandiyon waali.

Na tha ‘Gabbar’ iraada aaj nayaa kuch likhne ka,
Utha qalam jo dekhi shakhsiyat mukammal ghazal waali.

Rai se zuroor nawaziyega
Sohail


-Regards
Imran Ghori
+91 98855 37020
  Send a message via Yahoo to smack_07078 Send a message via MSN to smack_07078  
Reply With Quote