Ek aur bahut hi umdaa ghazal ki taraf rukh karte hain.
chalne ka hosla nahin, rukna muhaal kar diya
ishq k is safar ne to mujh ko nihaal kar diya
milte huwe dilon k beech aur tha faisla koi
us ne magar bicharte waqt aur sawal kar diya
ae meri gul zameen tujhe chaah thi ik kitaab ki
ehl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya
ab ke hawa k saath hay daaman-e-yaar muntazir
banu-e-shab k haath main rakhna sambhaal kar diya
mumkina faislon main aik hijar ka faisla bhi tha
ham ne to aik baat ki, us ne kamaal kar diya
mere labon pe mohar thi par mere sheesha rooh ne to
shehar k shehar ko mera waqif-e-haal kar diya
chehra-o-naam aik saath aaj na yaad aa sake
waqt ne kis shabeeh ko khawab-o-khayaal kar diya
muddaton baad us ne aaj mujh se koi gila kiya
mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya