Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
sdc ki purkhuloos mehfil ko Sagar Aashna ka adaab !
Ek arse baad sdc pe aana hua hai.
KahiN par ek unwaan tha 'kya kya yeh barsaat bahaa kar nikli hai'. Uss par ek chhoti si koshish pesh kar raha huN, iss ummeed ke sath ke koi kami beshi hone ki surat meiN mehfil se rehnumaayi milegii.
Gar che dil se jaan judaa kar niklii hai
Tiri Khamoshii aas jagaa kar niklii hai
Kal tak jin ko poochh hawaayeiN chalti thiiN
Aandhii unki khaak uDaa kar niklii hai
Koyii toh iss baar rahii hai majboori
Warna woh kab aaNkh churaa kar niklii hai
Parwaane kii jaan toh niklii hai lekin
Mehfil bhar meiN aag lagaa kar niklii hai
ArmaaN thay kuchh, aur makaaN bhi thaa mera
Kya kya yeh barsaat bahaa kar niklii hai
|
kyaa khoob kamaal ki ghazal huii hai saagar saahab ke padh ke mazaa aa gayaa
wah wahh wahhh ... kya kya ye barsaat baha kar nikli hai , warna wo kab aankh churaa kar niklii hai .... ye ghazal nahii kamaal huaa hai is baar aapki kalam se....
subhaan Allah is nazaaqat o andaaz ko shaad ka salaam...
Aate rahen bazm muntazir hai
Shaad