View Single Post
Raat bhar jalte rahe
Old
  (#3)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Raat bhar jalte rahe - 27th June 2015, 07:54 AM

Ghazal: Raat bhar jalte rahe

Completed on: 26th June 2015



raat bhar khaamoshiyon se guftagoo karte rahe,
ham charaaGon ki tarah chup chaap se jalte rahe (Shaad)

YuN Nigalte ja rahe the mujh ko saye raat ke,
bebasi meiN is kadar hum hath ko malte rahe (Hamdam)

har subah laayii umeedoN se bhara ek din magar
Naa khabar lii yaar ne ham shaam ban dhalte rahe (Madhu)

haath jo tuune meraa thaama nahi aye hamsafar
zulmaton ki raah par hum be jhijhak chalte rahe (Masti)

aatishon se udh rahe the khwaab mere raat bhar
hasraton ki justjuu mein khwaab hi palte rahe (Mast)

ManzileiN to paas thiiN aur walwala bhi Thaa magar
Thee nahii manzoor wo raaheN jahaaN baDhte rahe (Sagar Aashna)

Dil ko mere gam mile jab se ki uskii khwaahisheiN
fir usii ke khwaab in AaNkhoN me kyuN khilte rahe (madhu)

Phool ham ko Gulshan-e-yaaraa ke yoon daste rahe.
choolhe ke paanii pe ham bhii bulbule bante rahe (Hassan bhai)

kis tarah ki raah hai, kaise musaafir hain yahaaN,
peeTh me khanjar chubhaaye jo gale milte rahe (Shaad)

arz meri aye khuda kya sun sakegaa tuu kabhii
aasmaan ko bas isi ek chaah meiN takte rahe (Madhu)



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote