View Single Post
Old
  (#20)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
17th January 2013, 10:30 PM

Quote:
Jalakay yay gulshan meraa soachtaa hai,
Yay jhulsaa huaa sa biyabaan kyoon hai?


Mere point of view se ye sher bilkul valid,correct hai , aur specifically koi rabt ka problem nahi hai ,ye mera limited point hai aur mera opinion maine kis basis par base kiya hai vo mai ab aaapke saamne rakhta hu.

1] sabse pahle, sirf aur sirf ‘cold logic’ hi se koi sher evaluate karna apne aap me ek anamoly hai.

Strict application of cold logic se bahut hi unique results nikal sakte hai ,jiski jaankari sabko kisi na kisi tarah to hai hi,
jaise ki cold logic use kare to apple ki beej ko todne se ,andar se ek apple nikalna chaiye, kyuki andar to logically apple hai? , nahi to apple kaha se nikla agar beej se nahi aaya to?
Aadaab !
zidd saHb , mera yahaN HaaZ^ir hona na to appko ghalat Thehraana hai or na hi ahmed SaHb ko , mager apny nuQtaa e nazar (point of view) ko bayaan kerna mujhy thoRa sa Z^arooree laga , aur phir is maiN QabaHat hi kiya hai ?

maiN appse ma'zrat chahoN ga ager meree koee bhee baat zaraa see bhee buree lagee hoo .

Quote:
phir to , ‘kabr me leTa hai ya mara hai’ kahna hoga , kyuki ‘kabr me soya hai’ to kah hi nahi sakte kyuki zinda aadmi hi so sakta hai murda nahi,,,,,,magar aisi shayri to aam hai....??
qabr mai laiTa hai sooya hai yeh kehna qabil e qabool hai . kiyoNke mai khud bhi aik musalman hoN is liye is baat ki taa'eed ker raha hoN ke . hamara (muslims ka) yaqeen hai keh hum is dunya mai farZ^ee zindagee jee rahy haiN aSal zindagee marny ke baad hai jo laa faanee hai aur hamesha ke liye rahy gee . jannat mai ya phir jahanum mai (wo aik alag baat hai) . so qabar mai is liye laitaa ya soo raha hai kiyoN ke aik din phir uThaaya jaaey ga sab ko or unka Hisaab kitaab ho ga .

yeh meree sabhee dostoN se mu'adibaanaa iltejaa (humble request) hai ke meree oper darj kee gai baat per koi beHc na karieN takeh yahaN phir se koee mazhabi ikhtalfaat ya beHc shuru na ho jaaieN , is se phir maHool kharaab ho sakta hai .

Quote:
Ab koi ye sawaal UThayega ki zidd bhai aap to non logic ko sabit karne ke liye logic hi ka sahara le rahe hai..

aur sawaal uthaane wala sahi hi hoga ...

to jawaab ye hai ki vo sahi hai phir bhi mai ye kar sakta hu ,kyuki mai ab daleel de raha hu shayri nahi kar raha hu.
aapki opper waali baat per apnee naqiS raaey to day chuka hoN baaqee qist aagaey mulaHiza fermaaieN .

Quote:
Hum ko unse vafa ki hai ummeed
Jo nahi jante vafaa kya hai.......galib ( it is not a comparison sher to ahmad sahab sher.)

Is sher ko aaj ke daur me jo padta hai vo normally sani ka matlab derive karta hai( shayad bollywood ka influence hai)= ki ladki ek tart hai ek extreme view se,
aur agar koi lenient view rakhta hai to kahega ki ladki snob hai, jaankar qadr nahi kar rahi hai.
In general us misre ko satirical samjha jayega ,jaise galib sahib tana kas rahe the.
Magar
Scholars ne is misre ka ye view liya hi nahi .unko concept hi nahi ke mashuka ya supposed mashuka galat kar sakti hai.
Bekhud dehlavi aur nazm sahib(1900) ne comment kiya is sher par ke ladki abhi abhi jawaan hui hai, use pata hi nahi ke wafa kya hai...ladki ignorant hai because of her youth, uski koi galti nahi aut galib sahib bekaar hi aag me tape jaa rahe hai !!!!!!!!!!!!!!!!

smajhny waaly ko iKhtiyaar hai woh jaisy bhi samjhny , mager yahaN Ghalib saHb ne lerki ya jin per unhoN ne kaha unko qaSoor waar nahi thehraaya . balkeh apny baary maiN keh rahy haiN ke unhoN ne wafaa ki umeed un shakhS ya aurat se lagaaee hai jinhaiN wafa kiya cheez hai pata bhi nahi hai .

or yahaN faae'l (umeed kerny waaly) khud Ghalib saHb hai na keh jinse unko umeed hai . to mafo'ool (jin se umeed lagaee gai ) innocent hai bekhabar hai ke GHalib saHb kuch umeed ya aas laga rahy haiN ( aur jo umeed laga rahy haiN wo kiya balaa hai )


Quote:
ab vo sher fresh pada jaye,,,,saare possible nuances ko madde nazar rakhte huye.....to shayad aisa lagne lage ....ki akhir bholepan me ,gaflat me,ignorance me..ladki kuch harm kar baithi hai aur use pata nahi ke uske wajah se kya kya anjaam huaa,,,,,jab anjaam dekha to bholepan me pooch baithi ke'' haiy , aisa kyu ho gaya '"
ab chalty haiN aHmad saHb ke us she'r ki taraf jis per mujhy aitraaz to nahi tha mager aik sawal zaroor tha . khair ...

Quote:
Jalakay yay gulshan meraa soachtaa hai,
Yay jhulsaa huaa sa biyabaan kyoon hai?
soochny ka a'mal sirf usi aik insaan tak meHdood hota hai . mai kiya sooch rha hoN app nahi jaanty or app kiya sooch rahy haiN maiN nahi jaanta . hum dono aik hi baat per sooch rahy haiN . mager kiyaa sooch rahy haiN hamary e'lawa koi nahi jaanta . so apny app se apni baat to chupi huwi nahi hoti .

ab jaisa she'r mai zikr hai ke "jalaakay" to yahaN aisa lag raha hai keh jalaany waala bakhabar hai bekhabar nahi .

koi bhi shaKhS ager self defense mai bhi qatl kary to usko itna to pata ho ga hi ke qatl ho gaya aur kaisy huwa . ab jaisa maiN ne opper zikr kiya hai ke soochny ka a'mal sirf insaan ke khud tak meHdood hota hai to is Hisaab se qatl kerny waala ya jalaany wala bakhabar zaroor hai keh huwa kiya hai . nadaani mai jalaaya ya jaan bojh ker ultimately pata to hai na ke jalany se gulshan jhulas jaata hai

ya phir aik baat aur mumkin hai ke jalaany waala itna hi ma'soom hai ke aag lagany ke baad soochta hai yeh jal kiyoN raha hai


ager appko ab bhi lagta hai ke meraa sawaal be bunyaad hai to Huzoor appko baaqaaidaa poora haq hai mere sawal ko rad (neglect) kar daiN .

opper bayaaN ki gai meree sabhi baatieN Sirf or Sirf mera apna zaati khayaal hai . mera maqSad kisi ko thes , ranj pahunchaana qat'ee nahieN tha or na hi hai . ager anjaany mai mujhse bhool ho bhi gayee ho to ma'zrat khuwaa hoN .

t^alib e E'lm
Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote