View Single Post
Old
  (#7)
Rashmi sharma
volunteer
Rashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud of
 
Rashmi sharma's Avatar
 
Offline
Posts: 723
Join Date: May 2010
Location: chandigarh
Rep Power: 24
6th August 2012, 10:45 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Dekh ke jise ho gaye the udaas
haan main toh ik beti hoon

Jiske aane se tooti, har aas
haan main toh ik beti hoon

Apnon ke liye nahi thi kabhi khaas
haan main toh ik beti hoon

Bojh samajhne ka hai riwaz
Haan main toh ik beti hoon

Dee seekh sada chup rehne ki,
chheeni mujhse meri aawaaz
haan main toh ik beti hoon

Baapu ki chinta ka kaaran,
bhai ke sehti hoon mijaaz
Haan main toh ik beti hoon

Tum samjho mujhko sadaa paraaya
tum mein basti par meri saans
haan main toh ik beti hoon
bahut khoob masti ji ........aap hi ko dedicate kuch panktian.........
main bhi kr sakti hoon roushan tera naam
kya huaa jo main ek beti hoon
main bhi dila sakti hoon
kalpna chawla jaise, sunita willium jaise
sania mirza jaise, sarojni naydu jaise
indra ghandhi jaise aur raani jhansi jaise
tere naam ko ek pehchaan
kya hua jo main ek beti hoon
sadion se main deti aai tere vansh ko ek naam
kya hua jo main ek beti hoon
kabhi maa, kabhi beti,
kabhi patni, kabhi pemika
kabhi sati kabhi switari
kabhi apsra to kabhi devika
mere sab roopo,n ko kiya toone bhi to salaam
kya hooa jo main ek beti hoon


Rashmi Sharma
path par kaante bahut hain tere
par manjil par jaana too.ne
dar na jatilata se jeewan ki
isko saral banana too.ne
pasat na hone paye honsle
khud ka sahas khud hi juta le
   
Reply With Quote