View Single Post
Old
  (#76)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
22nd June 2010, 12:32 PM

Quote:
Originally Posted by janumanu View Post
pooja

humare mastishk ki chetna ki woh sthiti hoti hai.. jaha par humara zahan zero ki position mai hota hai

aur ye zero bahut khatarnaak hota hai

jis bhi digit se guna(multiply) karo use bhi zero bana deta hai ...

aajtak maine jisko bhi pooja karte dekha ......

meri rai mai rakhshashoN se bada pujari koe nahi hue..
unhone bhagwaan ki tapasya karke jio bhi manga liya. usse vinaash hi kiya. ya fir jisne bhi tapsyaa ki.... kuch na kuch swarth zaroor tha .....

___

aur pyaar ...

jisme koe swarth na ho, koe bhi nahi ........koe dukh na ho na virah ka na vasl ka koe antr ho

pooja ko pyaar ki ka nam tab hi milta hai , jab dhere dhere swarth kam ho jaye aur na rahe ..........

waise dunia mai 5 tarah ke pyaar hote hai, maien bhi dekh liye hia aapne mujshe pahle dekhe honge

ma-pita ka kyaar
bhayee ka pyaar
dost ka pyaar
bibi ka pyaar
aur desh prem

par inme se koe na koe dukh dhokha virah peeda zaroor hoti hai

aur mujhe lagta hia dunia mai ek aur pyaar hia jisme koe dukh dard dhokha nahi hota

wph hia prkriti ka pyaar

aap jab isse pyaar karo
ye tab hi aapko pyaar louta deti hai

jaise hi aap koe achi jagah dekhte hai, u feel good ek ajab sa sakoon milta hai...
woh ahsaas bhi to pyaar hai

jayda bol gaya hun to sorry ...

baki to

hai na apni

radhy radhy

Sorry guys... Maine suna hai jab do bade baat kar re ho to choto ko beech me nahi tapakna chahiye...

Parr mujhe laga shayad mai apni bhawnaao se kuch hadd tak samasya ka samadhaan karr saku...

Hope aap aur Rajinder ji bura nahi maanenge

Sirr jis..

Pyaar aur pooja dono ek hain bhi aur nahi bhi...

Ye sirf dekhne waale ki drishti pe nirbhar karta hai...

Jaise ki koi ek aadmi kisi ka pati bhi hai, wahi kisi ka putra bhi hai aur kisi ka beta bhi...

Kehne ka taatprya sirf itna hai k agar tum apne pyaar me bhagwaan ko dekho ( like 'tujh me rabb dikhta hai ' ) to aap uski pooja bhi karenge... Aur yaha spasht karna chahuunga k pooja ka matlab bhi eye to eye differ karta hai...

Aur iske vipreet agar tum apne bhagwaan se pyaar karo to uske prati bina swaarth k samarpan ho jata hai... ( like ' meera ji ' )


conclusion ye hai k sirf dekhne waale ki drishti pe depend karta hai k wo pooja me pyaar dekhe ya pyaar me pooja...

Ya wo pyaar ko kis drishti se dekhta hai aur pooja ko kis drishti se...

Aasha hai k upryukt vishleshan se ye mandbudhhi kuch hadd tak aapke vicharo ko santusht kar sakne me samarth raha hoga...

kuch ghalat laga ho to mazratt




Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D
   
Reply With Quote