View Single Post
ehsaason aur alfaazon ke jaadu se sajaa kalaam...
Old
  (#4)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
ehsaason aur alfaazon ke jaadu se sajaa kalaam... - 4th February 2016, 09:54 AM

mehboob ki adaa hoon, nazar ka noor hoon
har rasm-o-rivaayat mein, main bhi zaroor hoon

kahin zulf-e-haseena ki, hota hoon main zeenat
kahin nargisi aankhon se, behta suroor hoon

mohabbaton ki raunak, bhi mere dum se hai
shayron ki mehfilon mein, main mashoor hoon

kitaabon se jo niklun, to unke yeh lage
dafn dil ka raaz hoon,chasm-e-badoor hoon

unke labo.n pe aati, yak-lakht yeh hayaa
mujhse kahe main husn ka, unke ghuroor hoon

alfaaz ban ke bikhroon, to loot lun main dil
toote hue dilon ka, lekin futoor* hoon

kuch hai gulaab kehte, kuch kehte nasriin*
main phool khaaksaar sa, mere huzoor hoon

aafat si hai barpaati, murjhaaun jo kabhi
sadko.n par miltaa hoon, jaise nasoor* hoon

girti hui phuwaar hai, saazish si lag rahi
main kis tarah kahun, ke main be-qusoor hoon

futoor = weakness, infirmity
nasriin = wild rose


Mast saahab.


Last edited by sameer'shaad'; 18th February 2016 at 02:24 PM..
   
Reply With Quote