Quote:
Originally Posted by AnjAAn!!!
Pata nahi'n mera comment kyu'n add nahi'n ho pa raha tha thread par. Sir ji ye to bataiye pehle ki ye tanween kya hai?
|
Aadaab !
tanween ke lafzi ma'aani haiN "poora kerna " , "mukamal kerna " .
tansween "do zabar" "do zer" or "do pesh" ko kehty haiN , tanween or noon sakin dono aik jaisy hi haiN .in maiN farq itna hai keh tanween lafz ke aakhir mai aati hai jabkeh non saakin lafz ke dermiyaN bhi aa sakta hai or aakhir maiN bhi .
aik miCaal pesh kerta hoN . lafz hai
"مثلاً" lafz ki adaigi mai hamieN "noon" ki awaz bhi sunai daiti hai jabke likhny maiN "noon" nahi hota . isi tereH "waQtan "
"وقتاً " "fawaQtan"
"فوقتاً"
app ki asaani ke liye maiN tanween ki agli miCaloN ke aakhir maiN double quotation mark se zahir karonga (likhoNga) jaisy ke
waQta"
fawaQta"
maCla"
murawata"
and etc