View Single Post
Old
  (#13)
prem_anjana
man ki kalam.....
prem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to all
 
prem_anjana's Avatar
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Dec 2009
Location: lucknow
Rep Power: 21
11th January 2011, 11:40 AM

Quote:
Originally Posted by krishna View Post
VO RISHTA TERA MERA HAI



Kisi geet ka jo kavi man se
Chiriyon ka jo neel gagan se
Door desh ka ghar aangan se
Vo rishta tera mera hai.

Bhaon ka jo hota man se
Pratimaon ka jo poojan se
Aur aatma ka is tan se
Vo rishta tera mera hai.

Aansoo ka jo kisi nayan se
Boondon ka jo hai sawan se
Doooor kchitij par dhara gagan se
Vo rishta tera mera hai.

Dil ki ganthen khol ke dekho
Man ki aankhen khol ke dekho
Chatak sa VISHWAS hai krishna
wo rishta tera mera hai.

krishna
krishna ko prem anjana ka salaam
jaankar achcha laga ki apne hi sahar mein ik sdc user
itni khoobsoorat aur dil ko chujane wali kavita likh raha hai....
kya baat hai!!.......

jo tune na jana jo maine na jana
wo rishta tera mera hai...........

khush rahe , swasth rahe.
aapka prem anjana........


anjana prem
sab meri muskurahat se jalte hai,
mai sabko hasata chala gaya.
pasand thi jamane ko meri barbadi,
mai unpe dil-o-jaan lutata chala gaya.
   
Reply With Quote