View Single Post
Old
  (#11)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
24th May 2009, 07:46 PM

Quote:
Originally Posted by ghayal_shayar View Post
humne tumse pyar kiya,, sangini bana tujhe sweekaar kiya,, tujhe yaad karne ke siwa,, aur kuch na maine, eh yaar kiya,, sochte the ki kitni khoobsurat wo mulakaat hogi,, kehne ko to meri suhaagraat hogi,, na jaane kitne aadhe adhure ehsash honge,, pehli baar hum itne paas honge,, sochte hain kitni khoobsurat wo mulaakat hogi,, kehne ko to meri suhaagraat hogi...!




os me bhigi sharmati kaliyaaN,
husn ke jhonke me ithlaati pattiyaaN,
andhere me pighalna seher ka,
aur sote sahar ki gumti* battiyaaN...!

*gum hoti,, putting off of lights...!


uff! jaare ka ye mausam,
aur unke kurbat* ki garmi,
meri baahon me unka hona,
aur ungliyon ki besharmi...!

*nikat.ta,, nearness...!


do badanoN ka lipatnaa,
ek choti si razaaai me...
aata hai ek alag hi mazaa,
pyar ki is angdaai me...

angdaai me,
ek choti si razaaai me...!


fir hui wahi praatah* bela,
kisi ka darwaaza khatkhatana,
uthana jaldi baazi me,
aur fir halka sharmana...!

*subah ka samay,, morning time...!


fir ek intezaar,
kaliyon ke sharmane ka...
machalna unhe dekh ke,
afsosh choo v na paane ka...!
Lucky ji

aapki suhaagraat rachna ko maine abhi abhi padha...issme aapne us pal ki tamaam gudgudahat ka jis khubsurti se tana bana buna hai....sachmuch mai Qabile taarif hai...

bahut khubsurat baangi hai aapki........

-------------------
pata nahi tujh pe meri
kis baat ka asar hone wala hai
koi raaz aaj teri zubaa se
phir khulne wala hai.....


---naresh mehra--

  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote