View Single Post
Re: Re: Papa mere pas ajao
Old
  (#20)
Kanchan
Registered User
Kanchan is on a distinguished road
 
Kanchan's Avatar
 
Offline
Posts: 463
Join Date: Dec 2005
Location: Dehradun
Rep Power: 19
Re: Re: Papa mere pas ajao - 5th April 2006, 04:52 PM

Quote:
Originally posted by akant
Papa mere tum baitho paas
muje de do wahi atmavisvas
jo diya karte they tum kabi
jab paas tumare rehti thi mein
unhi palo'n ko yaad kerti hun
jab kandhey pe baith tumare
ghumti thi saare ghar mei
meri ek karahat se tum
daudey aate they sab bhulkar
meri khwaish per tum
bhar dete they mera aanchal
anginat chocolate'on se.

tumhari bahut yaad aati hai papa..
her pal man entjaar kiya kerta hai..anginat baate hai jo tumse kahani hai aur sunani hai dil ko sukun dene vaali baate..
tum kab aaoge papa...


Mere Papa tum to mere
pyare dost hua kartey they
Tume hi to apna Boy friend
kaha kerti thi mein
Tum hi to meri Maa they
saathi bi to tum hi they.

her jagah hi to maine tumhe paya tha papa.. chahe mujhe dost ki jarurat ho ya phir maa ki kami, tumhe dekhane ko taras rahi hain meri aankhe.. tum aa jao papa..

Ajao mere paas tum Papa
dek lo aakar mujhe
mein wahi choti si
jaan hun tumari
jiske aaspas mamta ka
bichona nehin hei.
Papa ke pyar se bana hua
wo takiya bi nehin hei.

tumne mujhe jo diya tha.. khushiyo ka gharaunda.. aaj suna sa pad raha hai.. mamata ki mahak.. papa ki khanak... de jao vo sangeet jo dhundh rahi hai ye aatma.. aa jao papa.. tum aa jao...



Kanchan ji aapki yah kavita bahut pasand aayi... aur mujhe mahsoos ho raha hai ki yah kitani real hai... sach aapke shabdo se maine hakikat ke aiane me se gujara.. bahut khub aapne likha..

likhati rahiye,

Akant...
Akant ji,
kitne ache alfaj diye hein aapne. bohat achey lage, thanks
Kanchan
   
Reply With Quote