Mera Bachpan -
24th September 2004, 04:25 PM
dosto kabhi kabhi apna bachpan kitna yaad aata hai...waise mera bachpan kuchh khas acchha nahi beeta lekin bachpan to bachpan hai..kuchh na kuchh to chanchalta, bholapan, thitholiya leker hi chalta hai apne saath aur ham kitne bhi bare ho jaye vo yade kabhi dil ko hasa jaati hai..aur thandi thandi hawao k saath thandi fuharo se bhi alingan karva deti hai..aisa hi kuchh likh rahi hu..jo mujhe yaad aata hai..
u pariyo ki tareh titli ban ghoomna
khaito ki mudero per
tere-medhe kadmo se
firoks ke kone pakar paker
titli ban kacchi mitti main nange pair ghoomna
vo sab yaad aata hai..
do chotiya kas kas k goothna..
maa ki lipistik muh per potna
moti si bindi mathe p saza ke..
saari ko lapete lapete..
moti si kajal ki dhaar laga k
pallu ko sir p odh ker.
matak matak k maa k saamne u aana
vo sab yaad aata hai..
aur
maa ka geet..sun meri lado..
saas begani..nanad..jithani..
sasura kanth lagana hai..
sasoo k ghar jana hai..
u hi ruuthna..aur khikhila k has dena..
vo sab yaad aata hai..
sakhiyo sang thitholi vo chutki..
vo gudgudi..vo shararat aur vo bhag jaana..
lakri k patle neeche taar ghuma kar
farsh pe ghoomna..
daadi k charkhe ko khali chalana..
vo sab yaad aata hai..
vo paapa ka god me uthana
rasgullo bhara dona thamana
rusi apni bitiya ko pyar se chooman,,,,manana
behna ki shikayat ....
vo school me kameejo per syahi ka failna..
vo sab bahut bahut yaad aata hai...
mujhe mera bachpan aaj bhi mere baccho
me lautTa nazer aata hai..
vo sab yaad aata hai..
udas
DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETI HOO
ASHK AANKHO ME CHHUPA KER GAM PE MUSKURA LETI HOO
********
"Haale dil to dil me hi rakhte hai, in ankho ka kya karai.n
Jinse yaad main tumhari hardam aansu behte hai"
~~~~~
**
|