View Single Post
kuch alag rangat hai
Old
  (#1)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
kuch alag rangat hai - 19th June 2004, 04:18 PM

kuch alag rangat hai aaj in nazaaron mein
khile hai chahat ke phool aaj ki baharon mein

mohabbat ki chandni se nahaai meri har raat hai
koi tara lagta hai pyara beshumar sitaron mein

kisi ki aahat se tanhaiyan tooti ho jaise..
dastak deti hai mohabbat dil ke kiwaron mein

tanhaiyon ke bandhan tod angdaai leti hai jindagi
harkat hui hai barson baad dil ke mazaaron mein

us rukhsaar ki roshni se roshan hue andhere hai
khulne lagi hai khidkiyan dil ki deewaron mein

-Manoj Kureel


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote