View Single Post
Nafrat? Nahee, Please :)**
Old
  (#7)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Nafrat? Nahee, Please :)** - 16th May 2008, 07:40 PM

Aaj Tu Gair Sahee-Pyaar Se Bair Sahee -2
Teri Aankhon Mein Koi Pyaar Ka Paigaam Nahee
Tujhko Aapna Naa-Banaaya To-Meraa Naam Nahee

Tu Ne Thhuqraaya Tha Jiss Dil Ko Kisi Kii Khateer
Aaj Uss Dil Mein Bagaawat Ke Siwa Kuch Bhi Nahee
Jin Mein Sapne Thhe Tere Pyaar Ke Aye Jaan-e-Wafaa
Aaj Un Aankhon Mein Nafrat Ke Siwa Kuch Bhi Nahee
Pyaar Kee Aag Mein~Sangdil Main Jalaa Huun Jitna
Tujh Ko Utnaa Naa-Jalaaya To-Meraa Naam Nahee
Tujhko Aapna Naa Banaaya To Meraa Naam Nahee

Saari Duniya Mein Faqat Tujhse Mohabbat Kee Hain
Tu Kisi Aur Ki Ho Jaaye Ye Mumqeen Hee Nahee
Naam Teraa Hee Mere Naam Ke Saath Aayegaa
Tu Kisi Aur Ki Kehlaaye Ye Mumqeen Hee Nahee
Naaz Hain Tujh Ko~Bohot-Husn Pe Aapne Lekin
Tere Sar Ko Naa-Jhukaaya To-Meraa Naam Nahee
Tujhko Aapna Naa Banaaya To Meraa Naam Nahee

Tere Maathhe Pe Mere Pyaar Ka Tikaa Hogaa
Zulf Teree Meree Shaano Hee Pe Lehraayegi
Hain Yaqeen Mujhko Ke Magruur Jawaani Teri
Mom Banke Meree Baahon Mein Simat Aayegee
Sangmarmar Se Haseen~Tere Badan Pe Sangdil
Laal Joraa Naa-Sajaaya To-Meraa Naam Nahee
Tujhko Aapna Naa Banaaya To Meraa Naam Nahee



*Album: The Legend Singer “Mehdi Hassan Jee **
*Vol-3~~~Track No: 1 **
*Film: Dahleez **
Waise Ye Geet Kishore Jee Kee Awaaz Mein Bhi Hain **


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote