View Single Post
Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi... (Mirza Asadullah Khan Ghalib saahab)
Old
  (#1)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi... (Mirza Asadullah Khan Ghalib saahab) - 17th September 2014, 12:51 PM

dil se teri nigah jigar tak utar gayi
donoN ko ik adaa meiN raza-mand kar gayi

shaq ho gaya hai seena khushaa lazzat-e-faraG
takleef-e-parda daari-e-zakhm-e-jigar gayi


khushaa=filled with joy
lazzat-e-faraaG=taste of freedom

wo baada-e-shabaanaa ki saramastiyaN kahaN
uthiye bas ab k lazzat-e-khwaab-e-sehar gayi


baadaa=wine
shabaanaa=night
saramastiyaa.N=activity/uchhal-kuud

uDti phire hai khaak meri kuu-e-yaar meiN
baare ab ae hawa, havas-e-baal-o-par gayi


kuu-e-yaar=friend/lover's street
baare=at last
havas-baal-o-par=desire to fly/uDane kii chahat

dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-paa
mauj-e-khiraam-e-yaar bhi kia gul katar gayi

gul katar=showered flowers/phuul bikheranaa
farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-paa=illusion of footprints
mauj-e-khiraam-e-yaar =lover's slow movement

har bulahavas ne husn parasti shi_aar ki
ab aabaruu-e-shewa-e-ahal-e-nazar gayi


bulahavas=greedy
shi_aar=habit
aabaruu-e-shevaa=manner of respect

nazzaare ne bhi kaam kiya, waaN naqaab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gayi

farda-o-din ka tafarruqaa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke hum pe qayamat guzar gayi


fardaa=past
deen=future
tafarruqaa=difference

maara zamaane ne 'Asadullah khan" tumheN
wo walwale kahaN, wo jawaani kidhar gayi

walwale=enthusiasm/passion

-Mirza Asadullah Khan Ghalib


http://www.dailymotion.com/video/x1x...tar-gayi_music
(must watch/listen)


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 17th September 2014 at 01:17 PM..
   
Reply With Quote