Thread: mila
View Single Post
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2013, 12:12 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
ek ghazal pesh karta hu aapki khidmat me....
qafiye ki self imposed bandish liye huye hai,,,jo kuch logo ko turunt apparent hoga....
ab aapke hawaale karta hu cheer phad ke liye
ab aap miliye(to meet) to aapki rai mile(to get) , abstract ideas ki milawaT hai ( to mix) is ghazal me......aur bhi bahut saare ...to receive...to want...to discover etc etc etc,....
jyada logic ki baat koi na kare to accha ,halanki koi dabaoo nahi iska...ek puzzle ki tarah is suna jaaye.
aaiye miliye...

Jo raasta mila muhje vo kaun sa mila
Muskil bahut hisaab hai kuch khoya ya mila

Milkar na aaya khwaab mujhe raat bhar koi
Kya gesuoo ka rang andheron me aa mila?

OoDe tamaam chehre vo nikla naqaab se
Mil to gaya par is tarah milkar bhi kya mila

Khud par kiya gumaan laga haath kuch nahi
Jis par tha aitbaar vo auro se jaa mila

Sabka yakeen karke tujhe mil gaya sukoon
Tera yakeen karke bhala mujko kya mila

Dushmam nahi tha taak me so dost par bani
Dushman bhi mera dekhiye kya kaam ka mila

Teri hai gar ye zidd to ye zidd ki hi haar hai
Le abto mere jaam se tu jaam laa mila


Zidd saahab , Aadaab...

Waaahhh kahuNgaa to kahin iski tareef me koi kamii na aa jaae.. asal me sach kahUn tomere paas lafz nahi haiN iski tareef ke liye....

Jaisaake aapne kahaake ise aapne islaah keliye daala hai to bhaijaan aapko batyaa doon ke mujh jaise haqeer ke ye bass me kahaaN ke aapke kalaam ki islaah kar sakuN... har lafz aur khayaal paani ki tarah saaf hai.....

OoDe tamaam chehre vo nikla naqaab se
Mil to gaya par is tarah milkar bhi kya mila



waaahhhh... is sher ki jitni tareef karuN.. kamm hai..



Milkar na aaya khwaab mujhe raat bhar koi
Kya gesuoo ka rang andheron me aa mila?


is shher ki zaraa wazaahat chahungaa gar aapko aetraaz na ho to...
gesuoN ka rang andheroN me mil jaane se (aur andheraa badh jaane se) khwaab ke na aane se kya talluq hai... ya phir main samajh nahi paa raha hoon ke aap jo kehnaa chah rahe hain... Roshni daaliye bhai isme...



And one more thing i want to mention here............

You did a Brilliant job.... Excellent Craftsmanship dekhne mila ............. do keep writing..

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote