Thread: Sawaal Jawaab!
View Single Post
Old
  (#87)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
10th July 2014, 03:45 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
ji Ziddsaab,

aapka huqm sar aa.nkho.n par janaab...


Shoaib bhai,
bahot hi pechida magar interesting word leke aaye hai.n

pehle toh clarity maangta hoo.n ki shaayad aapka ishaara qalam (pen) kii taraf hai.

toh pehle toh sahi lafz hoga qalam (क़लम, قلم)..
yeh ek arabic lafz hai aur uska literal meaning hota hai (to cut from a reed or cutting of trees or plants). purane zamaane me.n pen ya pencil peD kii shaaKH ko kaat kar banaaya jaata tha, shaayad wahi se yeh lafz pen ke liye bhii istemaal hone lagaa.

Arabic me.n qalam ko muzaqqar hi gina jaata hai.
magar, aapka savaal iis liye jaayez hai kyu.n ki ghazal aur nazm me.n yeh dono hi jins me.n paaya gayaa hai..

kuch zyaada examples nahi hai.. muzaqqar ke.. magar ek/do dhund nikaale hai.n
tehreer main aa jaye agar lafz judai,
mehsoos yeh hota hai qalam Toot rahaa hai - NM

Alamma Iqbaal ke qalaam se kuch examples..
Na tujh se garz hey na teri surat se garz
Hum tou Bananay Walay ka qalam dekhtay hain

Safar-e-Shaam likha aur qalam torr diya
Gham-e-Sarkar likha aur qalam torr diya



qalam kii misaal kii ghazal toh bahot hai magar mushkeel yeh hai ki unme se kaii me.n jins kii pehchaan bataanaa mushkiil ho jaataa hai..

jaise yeh Ghalib saab kii ghazal se.. (hazaaro.n khwaishe.n aisii)
magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle

Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge - Faiz Ahmed Faiz

ek mashhoor Hindi gaanaa
kaagaz, qalam, davaat la, likh doo.n dil tere naam karu.n

muannas jins me.n istemaal kiya gayaa...
phoolo.n ke ra.ng se, dil kii qalam se
hamne likhii roz baate.n

aur bhii logo.n se apnii apnii raa.ay manzoor hai.

Regards


Aadeil saahab jee meraa ishaara qalam ki taraf thaa shayaad ke typo ki wajah se aapko samajhne me pareshaani huiii.. muaafi talab karta hoon...

aapne jo baaten likhin uske liye bahot shukriyaa aapkaa... magar na jaane kyun aapka ishaara clear hota huaa mahsoos nahi ho raha hai.....

kuch log bahot hi strongly recommend karte hain ke Qalam should be muzakkar , magar aapne hi apnii tahreer me ise muannas bhii kaha hai..... mudda yahi hai ke zyaaadatar ise muannas (feminine) bhii istemaal me laya gaya hai, magar aap uski lughat ya sanad acceptable amount me nahi diye.... agar misalen mil jaatin ustaadon ki to behtaree hotii...

raahi baat gaaano(songs) ki to wo unacceptable maanta hoon main... bcoz songss koi rules follow nahi karte , na behrbandii ma na hi misaalon me....

aapke zyadatar ishaare us taraf jaate hain jahaan koi conclusion nazar nahi aata.... like ke wo actual me kis tarah se istemaal me laaye gaye hain (masculine or feminine)

baaki aapke ped (tree) ko katne waali information laajawaab lagee... kuch aur misaalen hon to pesh karen jahaan ise muannas me liya gaya ho...


Shaad...
   
Reply With Quote