View Single Post
Old
  (#80)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
26th December 2009, 05:11 PM

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
Meri Pyaariii Behna,

Ummed kardii haan sadiii sohnii kudii interview nu enjoy kar rahii hain meri tarah !!! Di bahut hi zada aacha laga jaan kar aapke parivaar aur especially betiyon se jo pyaar aur aapka itna khayal rakhti hain es mein saaf nazar aata hai ki aap khud kitnii aachi hain. kuch qualities genetic hoti hain ..touchwood dua kardii haan as my Nanii ji used to bless me n tell duniya mein kabhie bhi kisi ki betii dukhii naa hoo... tab mein bahut chotii thi but now I miss her the most ....I wish sab khush aur bahut khush rahye ...



Manno, main bhi interview enjoy kar rahi hoon, manno bahut baar aisa hota hai ki hamare bazurag hume koi nasihat detey haiN to tab hume woh ya to samaj nahi aati ya acchi nahi lagti...par, waqt ke saath woh baateN woh nasihateN acchi bhi lagti haiN aur samaj bhi aati hai...jaisa tere saath hai "naani maa ki dua" tab samaj nahi aaye.
maiN apne pariwaar meiN kush hoon (bas ek kami hai jo har pal khalti hai, tere jiju ji ka usa meiN hona) aur dua karti hoon sab kush raheN...ameeN




Didi jii aapka interview padh kar kuch sawal mere mann mein bhi hain.....

* aap gussa kaise control karti hain yeh nahi? aur kaise?

Manno....jab kisi par gussa aata hai, depend karta hai ki kauN sa relation hai....!
jaise ghar ki baat hai kisi ki baat buri lag gaye kisi ne gusse mein kuch keh diya...tab maiN usi waqt jawaab nahi deti....kyuN ki jab saamne wala gusse meiN hai maiN bhi gusse meiN jawaab dooNgi to baat bigad jayegi..baat ka sahi matlab bhi galat ho jayega.....jab mera aur doosre person ka dono ka gussa khatam ho jata hai...tab maiN kahti hoon mokka dekh kar ki aapne us waqt yeh baat kahi muje buri lagi....aur tab maiN apne dil ki baat bhi keh deti hoon aur saamne wala bhi baat sun kar apni baat kahta hai ki muje bhi yeh baat tumhari sahi nahi lagi thi tabhi gussa aaya
agar baccho.n ki kisi baat par gussa aaye to unko saath hi daaNt deti hoon, jab woh udhas ho jati haiN meri daaNt ke baad tab mera dil bhi dukhi ho jata hai, sochti hoon enke PAPA bhi ense bahut door haiN, maiNe daaNta hai to enko manayega kauN so phir unko pyar se samjati hooN, aur kai baar unko samjate samjate khud bhi ro deti hooN. us waqt tere jiju ji ko bahut miss karti hoon



* If God grants u 3 wishes ...
(a) toh sab ke liye kya karengey

main bhagwaaN se sabke liye dua karuNgi ki hey bagwaaN ji sabko sukh-shanti bhari zindgi dijiye.

(b) khud ke liye kya karengey

khud ke liye bhi yehi wish karuNgi ki Mere pariwaar meiN bhi sukh-shanti dijiye aur meri betiyoN ko safhal aur nek ensaaN bana.na


baaki jawaab baad meiN dooNgi....abhi chalti hooN


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote