View Single Post
lafz "muntazir" par members ke aashaar ...
Old
  (#454)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
lafz "muntazir" par members ke aashaar ... - 6th August 2014, 11:15 PM

lafz "muntazir" par members ke kahe huwe aashaar ...

muntazir rahe barsoN ke woh ayeN ge
dekhte rahe sapne ke woh manayeN ge
jaante haiN lekin dil ke hathoN majboor haiN
woh aa bhi gaye to 'hSn' ko rulayeN ge...
Hassan

mere dil k har haal main tum ho
mere har khayaal main tum ho
na hoon muntazir kisi aur jawab ka
k ab mere har sawaal main tum ho
Ananthpak

hoon muntazir ke hoga deedaar-e-yaar ek din
faqat ye ehsaas hi bohat hai sukoon-e-rooh ke liye
Praneeta

n ayaaN huweeN wo mohabbatteiN ke guzar gayeeN bhi haiN muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam par hooN nisaar kyooN
Zarraa

dil-e-muztarib hai muntazir ke kab hum tum mileN
yehi izteraab shab-o-roz hai, yehi aarzu sar-e-zindagi
Hassan

aamad ko apni muntazir ik daar hee hooN maiN
tishna ho apne khooN ki wo talwaar hee hooN maiN
Zarraa

um muntazir rahe hijr meiN vasl ko dhondatay huay!
woh wapis aaye raQeebooN ke hum-raah biyaaH rachaye huay
Hassan


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote