View Single Post
Naya lafz
Old
  (#136)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
Naya lafz - 12th July 2014, 12:44 AM

dostoN ...aadaab

"fusoon-e-alfaaz" ke ab tak ke mukhtasar se safar meiN ... pehle hum lafz-e-fusooN ke fusooN meiN kho gaye ... phir jumla-e-daar-o-rasan ke daar-o-rasan par qatl ho gaye ........................ aur ab .....................

.................... ab hum lafz-e-bosa ke bose lene ja rahe haiN ...

ji haaN, is baar ka lafz hai .... BOSA

pichhlee dafa kuchh azeezoN ne shikaayat ki thi ke daar-o-rasan jaisa lamba mushkil khatarnaak daraawana jumla diya gaya hai ..... to is baar ek short simple sweet romantic lafz haazir hai .............. BOSA

BOSA simply means a KISS

is baar hum "bosa" par sher, qita, nazm, rubaayee ya aur kuchh jise shayari kaha ja sake, kaheNge. aap "bose", "bosoN" wagairah ka bhi istemaal kar sakte haiN.

is lafz par bade hi khoobsurat, dilkash, shokh aur shareer aashaar kahe gaye haiN

chaliye dekhte haiN "bosa" par mashhoor shora ke kuchh khoobsurat aashaar ...

bosa dete naheeN aur dil pe hai har lehja nigaah
jee meiN kehte haiN ke muft aaye to maal achchha hai
-ghalib

dikha ke jumbish-e-lab hi tamaam kar hum ko
n de jo bosa to muNh se kaheeN jawaab to de
-ghalib

ghair leiN mehfil meiN bose jaam ke
hum raheiN yooN tishna-lab paighaam ke
-ghalib

bose ki hai to khwaahish par kahiye kyooN ke us se
jis se mizaaj-e-lab par harf-e-sawaal baaNdhe
-sauda

kya taab kya majaal hamaaree ki bosa leiN
lab ko tumhaare lab se mila kar kahe baghaair
-zafar

bosa mujh ko jo naheeN dete to jhirhkee hi sahi
naheeN darwaaza jo khul sakta to khirhkee hi sahi
-insha

lafz BOSA ki taqti, mere hisaab se, 21 aur 22 donoN ho sakti hai. any other opinion is welcome.

aur haaN, is activity meiN members jitne chaaheiN qalaam keh sakte haiN. sirf 1 ki hi bandish naheeN hai ....... more, the merrier

ye silsila hum agle 4 din tak chalaayeNge, yaani 15th July midnight tak. ab tak yahee trend dekhne meiN aaya hai ki zyaadatar posts 4 din ke andar aa gayeeN haiN. to hum 4 din tak bosa/bose/bosoN... par ghaur kareNge, phir agle lafz par chale jaayeNge.

to chaliye, ab is haseen lafz ke bose lete haiN.

duaoN ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 12th July 2014 at 12:55 AM..
   
Reply With Quote