View Single Post
Old
  (#14)
ZaraSuniye
Umda Shayara
ZaraSuniye is on a distinguished road
 
ZaraSuniye's Avatar
 
Offline
Posts: 34
Join Date: Dec 2001
Location: AZ, USA
Rep Power: 0
9th October 2002, 03:01 PM

Vipin ji:

aapki baatein padh kar bahut achcha laga. Yeh jaan kar khushii huii ke duniyaa mein aise shaks bhii hai jo auron ke dukhon ko dekh kar nazar pherne ke bajaaye, unke dukh ko mehsuus karte hai. Hame behad afsos hai ke aapko itni choti si nanhi si bachchi ko apne saamne is kadar dekhna paDaa. Rabb us bachchi ki aatmaa ko shaanti de aur aapko yeh haadsa dekhne ke baad hauslaa aur himmat de.

Baat yeh nahi hai ke log mohabbat ke siwa aur dukhon ko dekhte nahi hai ya mehsuus nahi karte. Jaha tak hamne logon ko samjhaa hai to yehi paaya hai ke jo dukh insaan ko apni vaishat ka ehsaas dilaaye aur use yeh dekhne par majbuur kare ke ussi jaisa insaan kis had tak gir sakta hai, use dekhne, samjhne, ya suljhaane ke bajaaye, insaan use nazar andaaz kar deta hai. Uski wajah yeh hai ke insaan is sachaai ko maan-na hi nahi chaahta ke duniya mein aisi baatein bhii hoti hai. Jo insaan is sachai se nazar milaa hi nahi sakta, uske baare mein likhegaa kyaa?

Kahii koi bachchi apni jaan se gayii, kahi koi aurat jalaa di gayii, kahi kisi baut hi kaabil insaan ko gariibii ki wajah se padne ka mauka nahi mila, kahi koi bahut hi kaabil aurat sirf is liye zindagi mein piche reh gayi kyunki vo ek aurat hai aur usse apna wajood talashne ka koi haq nahi. Yeh sab baatein rozana hoti hai lekin in par zyada tar kuch likha nahi jaata. Aur pyaar mohabbat par roz jaane kitne afsaane kahe jaate hai. Wajah sirf yeh hai ke sab ko khabar hai ke mohabbat hoti hai aur us mein dil bhii tootte hai aur unhe is baat se inkaar nahi hai. Lekin baaki sab baatein jo hamne kahi, vo sab jaante nahi ya phir yuun kahiye ke jaan-na nahi chaahte. Unke baare mein gar likha geya to unki sachai aur bhie mazbuut ho jaayegi aur insaan ko in baaton se aankh churaane mein zyada pareshaani hogi. Gar kisi ki baaton par vishwaas na ho to unse kaagaz par likhwaa liya jaata hai. Yeh kaagaz kalam mei bahut taakat hai, is liye insaan likhne se pehle so baar sochta hai. Shaayad yehi wajah hai ke insaan unhi baato ko likhta hai jinka wajood duniya pehle se maan chuki hai....kamzor hai insaan!
Lekin aapne bejhijhak apne dil ki baat kahi aur auron ko bhii kehne ka mauka diya, is liye duaa rahegi ke aap sada likhte rahe. Maana in topics pe likhne waale zyada nahi lekin qatre qatre se hi samundar banta hai.

Likhte rahiyega

- Zara Suniye


Khushk maidaan mein yeh kashtiyaan yuhi to nahi
Yakeenan yaha koi sailaab aaya hoga
  Send a message via Yahoo to ZaraSuniye Send a message via AIM to ZaraSuniye  
Reply With Quote