View Single Post
Old
  (#16)
Rashmi sharma
volunteer
Rashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud of
 
Rashmi sharma's Avatar
 
Offline
Posts: 723
Join Date: May 2010
Location: chandigarh
Rep Power: 24
20th June 2010, 05:27 PM

[QUOTE=ghayal_shayar;396361]Ab to waqt hi nahiN mil pata kavitaayeN likhne ka par kuch puraane pannoN me mil gaya mujhe to socha likh hi daalun kya pata kisi ko ahchi hi lag jaaye,gar kisi ki baahvnaoN ya soch pe ye kavita kataksh kare to maafi ka talabgaar rahuNga.....!!


mera janam
kisi aspatal ya
prashav grih me nahiN,
balki samaj ki
oopri manjil mein
hua tha.

mera laalan paalan
kisi maa ne nahi
balki samaj ki
beechwali manjil ne
kiya tha.

main
ab tandurust aur
jawan hoon.

mera vichran sthal
neechli manjil se
oopari manjil tak faila hua hai
meri maan aur maryadaa
aakash choom rahi hai.

log bhagwan ke bina
reh sakte hain,par
mere bina nahi.
Meri pahuNch,
panditoN ki shikhaoN,
aur mullaoN ki dadhiyon me,
samaan roop se hai.

mai saapekch hoon
dharm nirpekch hoon
meri gandh lagte he
khushali fail jati hai
aur jahan mein nahi hota
wahan badhali fail jati hai.


aapka ye khyal bahut hee psand aaya dad kbool kijiye or khush rahain

Last edited by Rashmi sharma; 20th June 2010 at 05:30 PM..
   
Reply With Quote