View Single Post
Old
  (#11)
deep_in_ur_hear
Kisiki Talash Main...
deep_in_ur_hear will become famous soon enough
 
deep_in_ur_hear's Avatar
 
Offline
Posts: 239
Join Date: Oct 2005
Location: maut jab sar dhund rahi thi main na tha
Rep Power: 19
12th March 2006, 02:13 AM

Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
Iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta
Chahta hoon main tujhe aaj bhi par
Teri soch mei apna waqt bekar nahi karta
Tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
Isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta
Jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
Tere liye khuda se taqraar nahi karta
Par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
Warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta


-not mine



marane kii duaaye.n kyuu.N maa.Nguu.N jiine kii tamaannaa kaun kare
ye duniyaa ho yaa vo duniyaa ab Khvaahish-e-duniyaa kaun kare


jo aag lagaaii thii tum ne us ko to bujhaayaa ashko.n ne
jo ashko.n ke bha.Dakaaii hai us aag ko Tha.nDaa kaun kare


jab kashtii saabit-o-saalib thii, saahil kii tamannaa kisako thii
ab aisii shikastaa kashtii me.n saahil kii tamannaa kaun kare


duniyaa ne hame.n chho.Daa ai dil, ham chho.D na de kyo.n duniyaa ko
duniyaa ko samajh kar baiThe hai.n ab duniyaa duniyaa kaun kare



-Moen Ahsan Jazbi
  Send a message via Yahoo to deep_in_ur_hear  
Reply With Quote