View Single Post
Old
  (#4)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
17th September 2010, 05:37 PM

Quote:
Originally Posted by sajid_ghayel View Post
Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi



Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi



Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi



Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi



Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi



Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi



Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi




Sajid Ghayel

ghayal sahab.....kin lafzo me aapki taareef karu....samajh nahi aa rah hai.....

itna kamaal ki beherbandi ki hai...ki hai ..ki lab sil gaye.....khushi se seeTee bhi nahi bajaa paa raha hu.....agar mera ghar ground floor par hota to zarur khushi ke maare apne balcony se kuud jata.....

ek syllable bhi apke meter me bharti ka nahi hai.....
poori ghazal me sirf aur sirf ek misre me bahut bahot mamuli meter laDkhdaya hai..vo hai

Jaisi kal thi (___)zindagi hai abhi...bus yaha ek chota harf/lafz ki zarurat hai

aaj wakai itni khushi hui hai ki bayaa na kar paa raha hu....
aaj ek naya saajid sahab ka janm huaa hai....
aapki fikr hamesha bemisaal rahi hai....isliye aap GFFC ke malik hai
ab apke paas tecnic bhi hai aur urdu aapki maadri zabaan to hai hi....
mujhe poora yakeeen hai ki ek din ham sabko kahenge ki saajid sahab to hamaare dost hai ...aap itne famous ho jayenge...aap dekhna

bus lage rahiyega ab...ab koi bebeher ghazal nahi sunana....aaj ke baad
ise ek challenge hi samjh lijiye khudse.....
bhale 10 din ka gap aa jaaye......

my salute to you sir

regards
   
Reply With Quote