View Single Post
Old
  (#36)
Praneeta
~"REBELLIOUS IN LOVE"~
Praneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Praneeta's Avatar
 
Offline
Posts: 3,264
Join Date: Feb 2008
Location: Ruatonga, Cook Islands
Rep Power: 52
Love 8th August 2011, 01:26 PM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
praneeta jee
radhe radhe

yun to mujhe bhi sawaal karne nahi aate par ek sawaal aapke liye aaj aa hi gaya hai to poochh leta hoon agar theek lage to jabaab dijiyega sawal hai :

aapki nazar me prem kise kahte hain, ye kyon hota hai aur kya ye ek tarfa hi hota hai ya doosre ka response jaroori hai ?

bas itna hi

fir milte hain

duaon ke saath
Ishk sahab
radhe radhe

aap ne kya khub sawaal kiya hai

jawab hazir hai sahab

meri nazar mein prem wo hai jo unconditional ho...aisa nahi ki main ussay pyaar karti hun toh wo bhi mujhe utna hi chaahen...meri samajh mein aisa pyaar tab hi ho sakta hai jab hum selfless ho jaye, jab humare liye saamne wale ki khushi ke siwa kuch aur nazar na aaye bhale fir hume kitna dard hi kyun na ho...saamne wale ki khushi se badh kar humare liye aur kuch bhi important nahi ho...tabhi aisa pyaar ho sakta hai...iss tarah ka prem maine maa aur uske santaan mein dekha hai...maa apne bachchon se unconditionally pyaar karti hai ye soche bina ki bada ho kar wo bachcha ussay pyaar karega bhi ya nahi

mujhe aisa lagta hai ki sachcha prem mostly ek tarfa hi hota hai...bhale hi pyaar dono taraf se ho par ek hadh tak jaa kar ek tarfa ho jata hai...pyaar tab bhi hota hai par conditions par depend karne lagta hai...tab ek partner ko apni wishes sacrifice karna padta hai aur pyaar ek tarfa ho jata hai...kabhi kahi suna tha..."dur rahe kar tadapne se toh achcha hai ki paas rahe kar tadpon"...i disagree with this...mera manna hai ki jise pyaar karo ussay tadpayon mat bhale khud kitna bhi tadpon.

isi liye mujhe nahi lagta ki sachche prem mein dusre ka response zaruri hai...jaise bhagwaan ke prati humara prem...hum kitna bhi bhajan kirtan kar le, kuch bhi kar le bhagwaan ji ka direct response nahi milta....wo kuch achcha ho jaye zindagi mein toh hum kahete hai ki bhagwaan ne achche karmon ka phal diya hai...par hum ye prove toh nahi kar sakte

ye meri personal opinion hai ji

Regards


_______________________________________________
PRANEETA

Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
  Send a message via Yahoo to Praneeta Send a message via Skype™ to Praneeta 
Reply With Quote