View Single Post
Old
  (#19)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
3rd November 2010, 04:08 AM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post
Taaveez uske naam ke


daikha nahi hai usko magar jaanti hun main
qadmoN ki aahatoN se pehchaanti hun main

aa aa ke basta rehta hai khwaaboN mai wo mere
shamil hai meri zaat mai haan maanti hun main

jab mil rahenge hum tum, kya vasl e qayamat hogi
un aamatoN ke darr se pareshaan si hun main

aisa na ho ke mil kar mujhse juda ho wo
taaveez uske naam ke ab baandhti hun main

mujh mai usi ka aks phaila hai chaar soo
chaadar ab uski yaad ki lo taanti hun main

"Lamha" wo keh raha hai deewani ho gayiN kya?
Keh do ke khud mai shamil teri jaan si hun main


************************

aadaab
bahot khoob bahot hi khoob mashallah subhaanallaah
kalaam bhi umdah hai khayaalaat me bhi farzaanagee ka uncur nomaayaan hai ehsaasaat ne sardee ki dhoop ki tarah dheere dheere jazbaat ka lebaadah orhaa aor talaatum ki kaifiyat paidaa kardee
tahe dil se daad haazir hai
masood hassaas
   
Reply With Quote