View Single Post
aakhri baar aah kar li hai
Old
  (#11)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
aakhri baar aah kar li hai - 13th November 2015, 06:41 PM

aakhri baar aah kar li hai
main ne khud se nibaah kar li hai
(aah : sigh; nibaah : manage)

apne sar ek balaa to leni thi
main ne vo zulf apne sar li hai
(balaa : problem; zulf : tresses; sar : on oneself)

din bhalaa kis tarah guzaaro ge
vasl ki shab bhi ab guzar li hai
(vasl : meeting; guzar : over)

jaan-nisaaron pe vaar kyaa karnaa
main ne bas haath mein sipar li hai
(jaan-nisaar : close friends; vaar : attack; sipar : shield)

jo bhi maango udhaar doongaa main
us gali men dukaan kar li hai

mera kash-kol kab se khaali tha
main ne us mein sharaab bhar li hai
(kash-kol: begging bowl)

aur to kuch naheen kiyaa main ne
apni haalat tabaah kar li hai

sheikh aaya to mohtasib ko liye
main ne bhi unki vo khabar li hai
(skeikh : priest; mohtasib : reckoner)



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote