Thread: Sawaal Jawaab!
View Single Post
Old
  (#52)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
19th June 2014, 02:00 AM

Zidd sahab.......do baate'n

(1) ham log Urdu poetry Ke adiib nahi hai......ki kisi usool ki rationality par bahas kare....hamse laakh guna jiyaada jaankaar bande ne ye rule banaaya hoga......ye rule mera invention to hai nahi ki ise prove karna mera farz ban jaata ho......Maine sirf ye kahaa ki DO-LAKHT kis aib ko kahate hai.....ab use maanna ya na maanna aapkii personal choice hai.......

(2) ghalti sab se hoti hai.....ye to suna hi hoga aapne.....agar ghaalib sahab Ke sher ki nazm sahib ne ghalat interpretation kar Di to kyaa hairat??????? Waise bhi Ghalib apni poetry ki toughness ko lekar badnaam hai......ek baat bataaiye Ghalib is alaawa kitne shaair hai....jinke ashaar samajhne Ke liye dimaagh Ke ghaude'n daudane ki zaroorat mahsoos hoti hai......

main aapki is baat ki purzor mukhaalfat karta hu...ki sher ki interpretation har koi apni -2 imagination Ka sahaara lekar kar sakta hai...imagination karna poet Ka kaam hai ....ham sirf uske istemaal kiye alfaaz Ka sahaara lekar interpret kar sakte hai......ek example dikhaata hu ki sahi interpretation kis tarah hoti hai..

Ghalib wale subjected sher me.......ghaur karne wali baat ye hai ki saani me aakhiri Alfaaz hai......josh e rashk se......aur oola Ka pahala lafz hai....Marta hu........dono ko jodkar dekhiye to kyaa banaa......rashk se Marta hu.......jaisa ki ek set phrase bhi hai JALAN SE MARNA.........ab sawaal hai ki kyunkar Ghalib ne is baat ko oola aur saani me do hisso'n me baa'ntkar kahaa......ek common reader kahega ....bah'r ki problem hogii.....lekin sachchaai isse koso door hai.......ghaalib ne tarsii ( parallelism ) Ke motive se aisa kiya.....nazm saahib ki raay thii ki khauf se marna hona chaahiye......lekin ye ek aam baat hoti....aur Ghalib aam baat kahate hi kab the........unhone ek alag baat kahi........mere qatl ko WO ( raqiib , kyu'nki Jo aapka qatl karna chaahata ho..WO Habib nahi ho sakta) talwaar lekar Aa raha hai ..mujhe Jalan hai ki talwaar uske pass hai.....qaash mere pass hoti ......( rashk tabhi paidaa hota hai jab koi cheez dosre Ke paas hoti hai...aur aap chaahate hai ki WO aapke paas ho )......i

.


Is tarah samjha ja sakta hai ki interpretation shaair Ke alfaaz ke bina par hoti hai......apne dil ki baseless imagination par nahi......aur jab alfaaz par interpretation hogi to 99.99% cases me WO unique hogi

Aur jab unique hogi to aapne DO-LAKHT par Jo ilzaam lagaaye hai...WO khud-ba khud khaariz ho jaate hai..........
   
Reply With Quote