View Single Post
gar tumhe tumhare desh se pyaar hai
Old
  (#1)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
Love gar tumhe tumhare desh se pyaar hai - 12th September 2012, 08:44 PM

Gar tumhe tumhare desh se pyar hai....

Ek baar cheer ke dikha do seena tum,
Ek baar mar ke sikha do jeena tum,
Bhool rahe hain log apne farz ko,
Bhool rahe hain log doodh ke karz ko,
Imaandari aaj kyon kisi ka dharam nahin,
Aankhon mein aaj kyon kisi ke sharam nahin,

Band karo macha ye charon or jo hahakaar hai,
Gar tumhe tumhare desh se pyaar hai,

Ek kurta, ek topi pehn ke ban jata hai sikandar,
Hum jaise logon ko phir samajhta hai vo bandar,
Ek ek rupay ke liye koi jeevan bhar marta hai,
Vahin koi baith ke apni jeb bharta hai,
Sukh sukun chain shanti jo sabka leta hai,
Hamare desh mein kehlata vo neta hai,

Banao use neta jo ye sab dene ko taiyaar hai,
Gar tumhe tumhare desh se pyaar hai,

Bhool gaye hain log bhagat, azad aur sukhdev ke balidan ko,
Desh pe kaise nyochavar karte hain apni jaan ko,
Lage hain sab log dhan ko kamane mein,
Desh kee izzat ko daon pe lagane mein,
Banaya ye kaisa mahol hamne charo aor hai,
Har dusra insaan dekho yahan rishwatkhor hai,

Khatam karo faila jo ye bhrashtachar hai,
Gar tumhe tumhare desh se pyaar hai,

Koun chadata hai matrbhoomi pe apna rakt
Khel ke maidan mein dikhte hain yahan deshbhakt,
Chand sikkon se aaj jameer taula jata hai,
Dekh ke ye manjar ab khoon khaula jata hai,
Sab hain desh ka sar sharm se jhukane wale,
Kahan gaye bharat mata ke liye sheesh katane wale,

Ashq nahin ab lahoo aankhon se behne ko taiyaar hai,
Gar tumhe tumhare desh se pyaar hai.

Na hoga kuch baat aur kavita paath karne se,
Ghar mein baithe vo jo darte hai marne se,
Ghar se niklo tum ab baandh ke kafan,
Icchao ko kar do tum aaj apni dafan,
Desh ko sudharna hai bas itna thaan lo,
Na karenge galat na karne denge bas itni jabaan do,

Charon aor phir tumhari jay jaykaar hai,
Gar tumhe tumhare desh se pyaar hai.



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote