View Single Post
Naya lafz
Old
  (#190)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
Naya lafz - 16th July 2014, 12:15 AM

dostoN ... is baar ka lafz hai .... KHALWAT .....

"khalwat" means solitude / privacy / the state of being alone .... akele meiN hone ki haalat

lafz "khalwat" meiN "T" ka pronunciation is as in TiTlee (butterfly), Tees (30), raaT (night) ... aap samajh gaye hoNge.

to is baar hum lafz "khalwat" par ghaur kareNge, koyee sher, qit'ta, nazm, rubaayee ya aur kuchh jise shayari kaha ja sake, keh kar. aap "khalwateiN", "khalwatoN" wagairah ka bhi qalaam meiN istemaal kar sakte haiN.

shayari ke saath saath SDC style guftagoo bhi jaaree rakhiyega. maqsad sirf ek doosre se kuchh seekhne ka hoga. members se darkhwaast hai ki is lafz par apne khayaalaat aur ilm bhi baaNtte raheiN aur is ki nuances par roshni daaleiN, jis se hum sab saath saath seekh sakeiN.

"khalwat" ki taqti, mere opinion meiN, hai 22. any other opinion is welcome.

"khalwat"par ghaur karne ka silsila hum chalaaenge agle 4 din tak, yaani 19th July midnight India time ya 6:30 PM GMT.

ab lafz "khalwat" par kuchh ustaad shora ke aashaar ka lutf uthaate haiN ...

mere hone meiN hai kya ruswaayee
ai wo majlis naheeN khalwat hi sahi
-ghalib

agar khalwat meiN tu ne sar uthaaya bhi to kya haasil
bhari mehfil meiN aa kar sar jhuka leti to achchha tha
-majaaz

abhi zinda hooN lekin sochta rehta hooN khalwat meiN
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya maiN ne
-saahir

kuchh mohtasiboN ki khalwat meiN kuchh waaiz ke ghar jaatee hai
hum baada-kashoN ke hisse ki ab jaam meiN kam-tar jaatee hai
-faiz

kaheeN khalwateiN dukaaneiN
kaheeN jism beeyopaaree
n kisi sanam ko shikwa
n dukhee koyee pujaaree
-faraaz ki nazm se

khudi ki khalwatoN meiN gum raha maiN
Khuda ke saamne goya n tha maiN
-iqbaal

to chaliye, shuru ho jaate haiN ! is lafz-e-khalwat ki khalwat meiN khalal daalte haiN aur ise le kar aate haiN apne aashaar ki anjuman meiN ...

duaoN ke saath
zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote