View Single Post
Old
  (#68)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Post 15th March 2007, 07:46 PM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Aziiz Dosto

Adaab

Mujhe bohat takleef ho rahi hai yahaN jo bhi kuch chal raha hai ye dekh kar. Bohat logoN se shikayateN aayeen haiN ke yahaN ka mahole badmaza hota ja raha hai.

Afsos ki baat ye hai ke ye site jo sher kehne aur sunane ke liye hai usey yahaN ke membaran ne dating-joint meN tabdeel kar diya hai. Shayrana zaban ki jagah galiyoN aur bhadde afaaz ne le li hai. Log jis tarah ke alfaaz istemaal kar rahe hain wo badi sharm ki baat hai. Jab paRh kar sharm aati hai to un hazraat ko wo alfaaz yahan likh kar chaspaaN karte huve kyuN nahin aayee.

Sabhi dostoN maiN is baat se aagah karva duuN ke behtar hoga ke is tarah ki batoN ke liye koi aur jagah chun leN. Ab yahan se aise logoN ka daan-paani uth gaya samjheN. MaiN baRi hi saKhti se aisee har post ko delete karne jaa raha huuN. Aur gandi zaban wale har member BAN karne ja raha huuN.

Ye baat tai hai ke is site par is qism ki harketeN yahaN bardasht nahiN ki jaayeNgi. Chahe jo bhi ho.
Aur jo log is jagah se pyaar karte haiN unse meri guzarish hai ke Khuda ke liye apne waqt men se kuch lamhe iske liye nikalen aur yahaN hone waali kisi bhi badmaza baat par nazar rakhen aur uskii ittela mujhe deN. Foran action liya jaayega.
Ummeed hai aap sab is baat par ghaur kareN ge aur yahaN ke haalt theek karne meN meri madad kareNge.

“YahaN Khaskar Ekta ji ki post ka zikr karna chahuN ga. Ekta ji aapko ye post nahiN karni chahiye thi. YahaN aapki tasveer ki zaruurat nahiiN hai. Agar aap shayri karti haiN to most welcome. Aapki post delete ki jaa rahi hai.”

Khaksaar
Praveen Saxena
salam praveen ji,
thanx achaa laga agar hume bhi kuch shikayat hogi jo hum zaroor likhege waise hum shayri.com naye hain per yaha hume jo bhi shakas mile hain bahut achee hai sub mujhe abhi koi shikayat nai hai.
thanx

SHAAN


Gamo ki kader karo or unke sath jiyu,
Gam kabi fareb na denge khushi ki tarah
.
........Shaan......
   
Reply With Quote