Thread: SMS Shayari
View Single Post
Old
  (#11)
meet
Registered User
meet is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 6
Join Date: May 2008
Rep Power: 0
28th May 2008, 04:28 PM

Her kisi say zyada, bus khuda say kum
Hamain itni muhabbat hai tumsay sanam
Ab chaahay parain ishq main jitnay sitam
tumhain paana hai chaahay jitnay ho ghum
Labon nay na bola per is jahan ki kasam
Agar hota jayaz, pujtay tum ko hum
You are so perfect to me
I wish I was perfect for you too
You are all I had ever wanted
You are truly a dream come true
You are pure like an angel
You are a sweetheart all the way through
You are so perfect, so flawless
I wish I was a little better, a little more for you too
meri jaan pay aayegi
jo hai woh, meri jaan
woh jaan lay jayegi
woh jo hai, meri jaan
woh dil-o-jaan ko tarpayegi
woh jo hai, meri jaan
woh jaan kay phir aayegi
woh jo hai, meri jaan
woh phir jaan jayegi
ki woh hai, meri jaan......
Kyon jaan ko mere tarpaye
Meri jaan chali aana
Meri jaan na ghabraye
Meri jaan chali aana
Meri jaan pay na aa jaye
Meri jaan chali aana
Meri jaan na chali jaye
Meri jaan tum chali aana
meri jaan nahi, dil ho tum
nahi dil nahi, jaan ho tum
mere jeenay ka maqsad ho
mere muzhub ka imaan ho tum
mere din ka ujala ho
meri raaton ka chaand ho tum
shayad tum ho, tum hi ho
tum hi dil ho tum hi jaan ho tum
jeevan main aashaa ki kiran ho
jo mere saamnay mera chaand ho
dharti per bhi swarg sa yauvun ho
jo mere saamnay mera chaand ho
patjhar main bhi saawan ki pawan ho
jo mere saamnay mera chaand ho
her khushi ho, aashaa ho
jo mere saamanay mera chaand ho
aisa ho to phir kya ho
jo mere saamanay meri JAAN ho
Khush hoon is liye nahi kay tum achi ho pyari ho
Khushi to hai is ki kay tum hamari ho
tumhare intezaar main, pucho na mera haal
din lagay maheena, maheena lagay saal
tere pyar main ek aisi mithaas hai
ke jitna bhi miley yeh, na bujhti pyaas hai
Jab say tu aaye meri zindagi main
Her lamha teri chaah hai
Her pal ko teri aarzoo hai
Her dharkan main teri yaad hai
Aur her zarray ko teri hi pyaas hai
Guzri thi kuch is tarah say zindagi yeh tere qabal
Jaisay isko teri hi, tere pyar ki, tere justajoo ki talaash hai
Aur ab to yeh aalam hai mere hum-nasheen
Kay tu nahi to duniya main kuch bhi nahi
sonch kar bhi tujhe na hasil karnay ka gumaan
is dil ko dharaknay ki aarzoo bhi nahi
Aankhon main mere tujhe paanay ki chaahat
In say yoon nazrain churaya na karo
Doob nay do inko apni aankhon main
Unhain palkon say yoon chupaya na karo
Dhoondhti hain yeh rastay tere dil kay
Unhain isharon say hi sahi, dikhaya karo
Aanay do dil say chaahat kay do lafz
Unhain honthon say yoon churaya na karo
Tum kuch bhi kaho, jaise kaho, acha lagta hai
Dil say nikla hua her lafz, sacha lagta hai
Shair ka, gaanay ka nahi, mohtaaj hai ihsaas-e-jigar
Yeh to isharon main bhi kaha ja sakta hai
Her kashti-e-manzil sahil hai to kya
Hamahari manzil-e-ishq to sirf tum ho
Yeh dil dharakta hai her pal to kya
Is dil ki dharkan to sirf tum ho
Yeh jaan jayegi kisi din to kya
Is dil ki malika to sirf tum ho
Zindagi dii rab nay to kya
Jeenay ka maqsad to sirf tum ho
Is dil nay tujh main jaanay kya dekha
Zindagi ki dhoop mohabbat ka saweraa dekha
Khoye khoye si zindagi thi meri
Tu aaye to khuli aankh say bhi sapna dekha
Jo aati hai tu hut tay hue aanchal say nazar
Aisa lagta hai baadlon kay beech chaand ka chehra dekha
Jis Ki talaash thi is veeranay dil ko ab tak
Tujh main woh khushi, her lamha woh sunahra dekha
deedaar ko tere, hain itne tarsey
luta doon yeh duniya ab, tere pyar ke sadqay
Jab bhi tum mujhe apna kehti ho
Tum dil ko aur bhi achi lagti ho
tum agar muqaddar main na hoti
zindagi se yoon mohabbat na hoti...
jeevan main aashaa ki kiran ho
jo mere saamnay mera chaand ho
dharti per bhi swarg sa yauvun ho
jo mere saamnay mera chaand ho
patjhar main bhi saawan ki pawan ho
jo mere saamnay mera chaand ho
her khushi ho, aashaa ho
jo mere saamanay mera chaand ho
aisa ho to phir kya ho
jo mere saamanay meri JAAN ho
Rab ne sirf do chaand banaya
Aasmaan ke liye ek, ek 'meri' jaan banaya
Door ho kay bhi tum itnay qareeb ho
Aankhain band karoon to tum palkon main samayee ho
Aankhain choom loon yoon kay pyar khoob hoyega
Tum milo to dil, duniya ko bhi bhool jayega

Mohabbat sanam ki
tab hi rang layegi
jab yaadain hongi
aur woh tarpaye gi

Paas na ho ek pal ke liye bhi
To is qadar yaad aati ho
Jaise bichray hue aashiq ho(n)
aur sadiyon ki judaii ho

chaahat main teri
her khushi hai meri
dillagi yeh nahi
zindagi hai meri
dil ko ihsaas hai
mera kya haal hai
meri duniya mera sab kuch
ab tu hi hai meri
Kitni achi ho tum, itna acha bhi koi ho sakta hai
Dil ko miltay hi tujh se, zindagi khwab sa lagta hai
Tum ho apni to khud per ghuroor lagta hai
Gaalon pay haseen, labo(n) pay bus tera hi naam rehta hai
tumhain dil main rakhoonga
tere dil main rahoonga
tere dil say poochoonga
tere dil ko yeh kah doonga
tum saanson main basi ho ab
teri dhadkan say yeh keh doonga
tum ho ab sirf meri
yeh duniya ko bata doonga
tere dil may main bus loonga
tujhe dil main basa loonga
tujhe chaah kay na kuch aur, chaaha hai hum nay
tujhe maang kay kabhi aur, na kuch maanga hai hum nay
tujhe hi pooja tha, tujhe hi pooja hai hum nay
tujhe hi dhoondha tha, tujhe hi paya hai hum nay
tu mohabbat hai meri
dil yeh kehta hai
choopkay say yeh teri
dhadkan main busta hai
dharakta hai yeh tere liye
tujh hi pay marta hai
teri hi chaahat main yeh
jeeta aur marta hai
Jab nazron nay yeh mere, tera chehra yaar dekha
Teri aankhon main chupa, Mera pyar dekha
Chupi hui aanchal main, Jo dildaar dekha
Mere dil nay bhi phir khwab, sau baar dekha
kuch aur mayeenaa tha zindagi ka
ab tum hi zindagi ban gaye ho
badal gaye hai zindagi hi meri
jiski tum her khushi ban gaye ho
do pal thahar jao to
dil aur bahal jayega
in do pal ki yaadon pay
kuch aur din kat jayega
Jab aankhon nay kiya woh deedar tera
Palkon main chupa liya phir pyar tera
Kat-ti hain ab shaamain bus yoon hi
In Nigahon ko bus ab intezaar tera
saansain na ho to, phir bhi jee sakte hain kuch pal
tera pyar na miley to, mar jayain hum usi pal
tujhe dekhain to sirf aahain bharay hum
ho ijazat agar to tere dil main rahain hum
tum is qadar pyari ho, ke pyar aa hi jata hai
sambhale jitna bhi khud ko, na dil qaboo main aata hai
tere hi aate thay khwab
tera hi intezaar tha
teri hi chaahat lay ker
dil yeh beqarar tha
ab milay ho tum to dil ki kahain hum
ho ijazat agar to tere dil main rahain hum

Aa jao ab kay jeena mushkil hai
Zahar judaii ka peena mushkil hai
Bohot tarpa chuki tum door reh ker janam
Ab to ek pal ki bhi doori na mumkin hai
tum ho to hai, duniya haseen
tere bina, kuch bhi nahi
tu hi hai sab kuch, hai mujh ko yakeen
tu jo nahi, to kuch bhi nahi
dekhoon jo tujh ko to dil muskuraye
dil machal jaye, jo tu nazar aaye
tere aanchal main meri duniya basii
teri khushi main hai meri khushi
tum ho to hai, duniya haseen
tere bina, kuch bhi nahi
tu hi hai sab kuch, hai mujh ko yakeen
tu jo nahi, to kuch bhi nahi
betaabi milnay ki her pal sataye
yaadain teri mujhe raaton jagayain
khwabain mera tujh say hain sajeen
teri chaahat hai ab, sub kuch meri
tum ho to hai, duniya haseen
tere bina, kuch bhi nahi
tu hi hai sab kuch, hai mujh ko yakeen
tu jo nahi, to kuch bhi nahi

tum jo lay chukay ho dil mera
mujhe dil kay qareeb rakhna
kar kay paraya duniya say mujhe
mujhe khud say door na karna
tera hi bus khyal hai ab
teri hi bus hai yaad
sadiyon sa lagta hai ek pal
tum jo na ho saath
bechainiyan ab rehti hain
betaab hum jeetay hain
bin tere ab to sanam
hum her pal jee kay marte hain
tum jo lay chukay ho dil mera
mujhe dil kay qareeb rakhna
kar kay paraya duniya say mujhe
mujhe khud say door na karna
tum aaye ho to aayeee zindagi hai
sung aayee tere duniya ki her khushi hai
khamoshiyan thi zindagi main meri
madhosh main jee raha tha
aamud teri layeee - sitaaron ki raushni hai
baharain mili tere aanay pay
badal gaya mausam zindagi ka
tum chaand ho meri - sung aayee tere chaandni hai
tum aaye ho to aaye zindagi hai
sung aayee tere duniya ki her khushi hai
Bin tere bhi ho sakay gi koi zindagi
sonch kay hi lagay jaan nikal gaye meri
Pyar may main us kay, duniya ko bhula doonga
Dil ka rishta hai, main jaan loota doonga
Phoolon si meri janam, kanton main na ulajh jaye
Her zakhm us kay dil kay, apnay seenay pay utha loonga
Ishq yeh mera, usay maghroor kar jaye
Toot kay main us ko, itna usay chahoonga
Bus yehi dua hai meri, woh bani rahay her dum meri
Mili gar woh na mujhe, kaisay jee paoonga
tum phoolon main chupi ho
to dhoondhna mushkil ho
kaliyon main tum ek kali ho
to dhoondhna mushkil ho
gulaabon main teri shikan ho
to dhoondhna mushkil ho
khushboo teri gulshan main ho
to dhoondhna mushkil ho
Yeh na kah sakta main, kal kya day sakoonga
Par hai yeh wada wafaa ka, tujh ko dil main rakhoonga
Gur chali gaye mujh say, ek qadam bhi jo tum aa gay
Yeh na bhoolna sanam, her kasam main rakhoonga
Moor kay jo tum dekho, aur nazar main gar aaoon
Bewafa na tum kehna, warna main ro paroonga
Agar hue jo na pooray, kal armaan apnay dil kay
Rub ki marzi samajh kar, mujhe baksh dena
Mujh ko rokaygi na koi sargosh-e-dil ki
Tootay hue khwab kay, saye per bhi main chaloon ga
Kuch gussa, kuch nakhra, kuch iltija bhi hai aap ki
Hum se ruthna, hamain satana, tarpane ki adaa bhi hai aap ki
Her baat pay hansna, her pal muskurana,
Her baaton say dil dharkana
Apni sharmili nazron say, surkh honthon say, her saanson ko choo lena
tu maseeha-e-ishq hai
mujhe chahat hai bus ab aap ki
Kal na kah saka tha main tum say
Aaj na kah paoonga phir tum ko
Kal phir kya ho kis ko maloom
Kyon na phir aaj hi kah doon yeh tum say
Hamain mohabbat hai, sirf, aur sirf tum se
Ab chahe jo kal ko ho manzoor
Ab chahe jo ho aaj mumkin
Hum nay lay li hai kasam tujhe paanay ki
Ab karni hai her namumkin ko mumkin
zikar-e-yaar ho to maza guftagoo ka hai
mujhe to sanam ka naam bhi ek mausiqi lagey
ek pal bhi door tujh se, rehna muhaal hai
ho paas bhi agar to, ajab si pyaas hai
cheeni main bhi nahi hai utna mithaas
jitna meetha hai mere sanam ka pyar
Jo phoolon main dikha tera chehra
Phir baaghon ko hi hum jannat samajh baithey
Nikli woh phir ghar say bahar
Phir chaandni meri galiyon say guzri
Ger palkain na hoti teri aankhon pay
Main kab ka unmain doob chuka hota
ab na aarzoo hai, na koi khwahish mujhe
duniya bhar ki khushi, jo mili hai paa ke tujhe
tapish tere husn ki, jala deti thi mujhko
paa ke tujhe zindagi main chaaon aa gaye
subah hai aur shaam hai
dil ko kahan aaraam hai
lete rehna sanam ka naam
dil ka bus yehi ab kaam hai

tera pyar hai sanam
kisi khushboo ki tarah
jo aaya hai zindagi main
to mehkaa hai jug mera

aye sanam bin tere sirf aahain bharain hum
tere aane se hai khushi, tere jaanay pe khatam
tum se door reh ke yeh haal hua hai
do maheeney abhi hue hain, lagta hai saal hua hai
   
Reply With Quote