View Single Post
Old
  (#4)
aslam noor
Registered User
aslam noor is a jewel in the roughaslam noor is a jewel in the roughaslam noor is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 101
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 14
24th May 2013, 05:04 AM

Quote:
Originally Posted by AHMAD SHAKIL View Post
Arbaab-e-Zauq Ko Aadaab….!Dosto Kaafi Dino Baad Kuch Likh Paaya Huun, Ummiid Hai Ke Pasand Aaye Ga…. Aap Ahbaab Se Guzaarish Hai ke Apni Raaye Se Zaruur Nawaaziye Ga…

YAAD KI MAALA PIRONA DAIR TAK

Hasraton Ke Beej Bona Dair Tak
Baad Uske Rona Dhona Dair Tak

Pattharon Ke Beech Na Saalim Raha
Kaanch Ka Koi Khilona Dair Tak

Parrh Ke Uski Yaad Ki Tehreer Ko
Apne Ashkon Se Bhigona Dair Tak

Shayad Uske Dil Me Ho Chahat Meri
Main Ne Chhaana Kona Kona Dair Tak

Hai Mera Tanhaayi Me Ye Mashghala
Yaad Ki Maala Pirona Dair Tak

Aaj Mere Sar Talay Us Ne Dia
Apni Baanhon Ka Bichona Dair Tak

Ishq Hai Tum Se Mujhay Be-Intaha
Haan Yehi Mujh Se Kaho Na.! Dair Tak

AHMAD ALI SHAKIL

Ahmad Shakil sahab bhut hi achi ghazal se nawaaza hai aapne ghazal ke tamaam aashaar khoob aur bhut hi khoob rahe khass kar matla aur maqte ka jawaab nahi hai daad behad o behisaab paish e khidmat hai qubool farmaaiye

aslam


zindagi ke haseen lamhe ka
Khoobsurat sa intekhaab ho tum
   
Reply With Quote