View Single Post
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th September 2013, 03:30 PM

Khair jaise jaise Railgaadi manzil ki taraf badhtii jaa rahi thii, waise waise main bhi apne ateet ki gehraaiyoN me utartaa jaa raha thaa..

Mujhe yaad hai wo Din, Jab jab Mere vidyaalay ki pareekshaaeN shuru hotiiN mere dimaag me bas ek hi khayaal hota thaa, ke kaise in pareekshaaon se peechaa choote aur main bhaag ke wahaaN jaauN jahaan meraa bachpan meraa intzaar kar raha hai ....

Iske pehle main aapko bataana chahunga us jagah ke baare me jiska zikr maine uupar likhaa, asal me hum log shaher ke civil lines me rehte hain... wahaan na to bacchon ko padhne ka alaawa koi aur kaam sikhaaya jaataa aur majaal hai ke shaam ke alaawa koi din me khelne nikal jaae... aise mahoul me main khud ko behad akelaa paata thaa, kyonki bachpan se hi meri behad chanchal privritti rahi hai... Mere Maata ji aur pitaaji apne daftar subah se hi nikal jaaya karte they aur dopahar ko school se loutne ke baad sara waqt ghar pe akele hi beet'taa.. tab mujhe us jagah ki behad yaad aati jiske baare me main aapko bataa rahaa thaa... asal me wo jagah thi meri Naani ka ghar...

Bachpan me mere mata pitaa mujhe naani ke ghar hi chhod jaaya karte they, wo shahaer ki ek puraani basti thii... jahaan na to anushaashan ke pratibandh they, aur na hi wahaaN ke bacchoN pe itni paabandee thii... Mere wahaan itne dost they ke main shaayad hi gin sakuN.... chal kapat se door wo bachpan kitnaa sunder thaa, aaj sochtaa hoon to aankhen barbas hi chalak uthtee hain...

Khair main bataa rahaa thaa, ke pareekshaaen khatam hone ke baad main aur meri chotee bahen , hum dono hi naani ke ghar chale jaaya karte they, jahaan hamaari umr ke itne bacche they khelte khelte pataa hi na chaltaa kab din beet jaata.... Shaher ki bhaag daud se door wo choti si bastii jahaan ki galiyaaN hame mahloN se pyaari thii..

Lukaa chipii, gend gippi, gilli dandaa, aur na jaane kitne hi khel hote they, jinke binaa hum ek din bhi naa reh sakte they, aur un sab ke alaawa jo cheez mujhe wahaan jaane ke liye kheenchtii wo thi hamaari naani kaa dher saara pyaar...
Hum log bhale hi saara din khel kood me lage rehte magar shaam hote hi naani ko gher ke baith jaate, wo khanaa banaati aur main aur meri bahen apni apni baateN nani se kaha karte.. duniyaa bhar ki baateN huaa karti school ki, padhaai ki khel kood ki aur na jaane kis kis ki....

Us zamaane ki sabse acchi baat yeh thii, ke us waqt ke log kisi ke ghar aane jane me sankoch nahi karte they, na hi kisi ke yahaan aane jaane se bade chote hone ki koi baat thi, mujhe yaad hai shaam ke waqt Nazmaa jo ki hamaari pados me raha karti thi, aksar hamaare ghar aa jaya kartii thi... Mujhe ye to pataa nahi ke wo log wahaan kab se rehte aaye hain magar itna yaad hai ke wo meri maa ji ko baaji (badee bahen) kahaa karti thi, isi lihaaz se wo meri khala (mausi) to lagtii thii, aur mujhse umr me bhi kaafi badee thii, us waqt shaayd 23, 24 ki rahi hogee.. magar maine hamesha use nazmaa hi kahaa, shaayad aas paas ke log use yahi kahaa karte they isiliye sabka sun ke maine bhi use yahi kehnaa shuru kar diyaa....

Nazma ke Abbaa tailor master they, magar shaayad kaam dhaam me unkaa mann nahi lagta thaa, sara din ghar pe hi pade rehte they, kabhii doston me nikal jaate aur saara din beedi peete rehte ... Nazma ke uupar hi ghar ki zimmedari thi, uski amma beedi banaaya karti thi, aur nazmaa kisi school me padhaane jaati thii... jaise taise unka guzar basar hotaa thaa, merii usse zyaada paTtee to nahi thii, magar haan jab kabhi wo hamaare ghar aa jaati, main aur meri bahen usi ke saath khelnaa shuru kar dete they... wo hum dono ko bahot pyaar karti par shaayad main andar hi andar usse naraaz rehtaa.. shayad wo hamaare parivaar ke baraabar hote to ye baat na hotii, magar us waqt ye khayaal kahaan aata hai ke kaun ameer hai kaun gareeb... bas dil ka rishta hota hai insaaniyat ka rishta hotaa hai....

Main jab bhi apne doston ke saath baahar khel raha hotaa aur nazmaa wahaan se nikalti to mujhe dekhkar baateN karne ki koshish kartii magar main hameshaa use taal jaata, aur naa hi uski baaton ka jawaab detaa.. is darr se ke shaayd mere dost is baat ka mazaaq na banaa leN ke main usse baat karta hoon jiskaa sab mazaaq udaate haiN...

Asal me mujhe ye baat thodii der se maloom huii ke muhalle ke bacche uskaa mazaaq "Amir khan" keh kar udaate hain.. koi kehta "amir khan paagal hai", koi kehtaa "amir khan mere ghar jhadu pochaa krne aata hai".. bas itnaa sunte hi wo aag babooola ho jaati aur yooN kharii khotii sunaati ke acche acchon ki naani yaad aa jaati....

Ek din jab wo hamaare ghar aai to maine usse iskaa sabab poochaa, ke aakhir ye amir khan ka chakkar kyaa hai... tab usne jo kuch bhi mujhe bataayaa, wo main aapko jaldn bataaungaa.... par shaayd phir koi station aa gaya hai aur main zaraa baahar tahel kar aata hoon..... tab tak aap sab thodaa intzaar kijiye..... jald louTtaa hoon.....

Shaad..........


Shaad...
   
Reply With Quote