View Single Post
Dost mujhe maaf kardo
Old
  (#8)
EkDharkan
~~Reshma ke Dil ki~~
EkDharkan will become famous soon enough
 
EkDharkan's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: May 2007
Location: Suriname
Rep Power: 17
Thumbs up Dost mujhe maaf kardo - 20th August 2007, 06:04 PM

Quote:
Originally Posted by Abrarsworld View Post
Mehfil ko Abrar Ka Salaam...

Dosto Ek tehreer padi thi yahan amanush ji ki jisne kuch is tareh se dil ko chua ke dil ne uske ashar ke kuch jawaab diye hai... Koi bhool hui ho to maufi ka talabgaar hun... tehreer ka naam woh aise aise baatein karti hai... Amanush ji ki.... Yeh kuch ashaar dil se likhe hai unki tehreer ke jawaab mein... Aap ki raaye ka muntazir....

Abrar....

Aadab Dharkan Ji...

Isse pehle yeh mudda mujhe kisi mushkil mein daalde... Yeh Us Tehreer ke jawab likhne ki koshish thi meri jo aap sabke beech mein pesh ki the... Haan Iske Lines Milte hai par ek bhi ashaar nahi milta... Is tareh se main jahan tak sochta hun koi galat baat nahi hai... kyun ke unke ashaaron ke jawaab ki koshish ki gayi thi yahan.... Agar fir bhi kisi ko yeh baat galat lage to Ap Is post ko delete karva sakta hain...

Duaon Ke saath Ijazat...

Abrar....
Abrar ji ko mera salaam,
Abrar ji , mai haath jor kar aap se maafi maang rahi hu. Mai ye dono gazal parh kar confused ho gay thi, isliye apna confusion post kar diya tha. bahtar hai na ke mai apni dil ki baat kah du? Agar mai man me confusion lekar baithi rahti to bura hota na?
Lekin shaayad mai ne aap ka dil dukha diya,mujhe maaf kardijiye plz
Mujhe nahi lagta hai ke aap ka thread delete hona chaahiye,agar hona hota to ab tak ho hi jaata. Aap ne achha likha aur bahot achhi andaaz me Mushkil ji ke gazal ka jawaab diya. Bas jo thora sa confusion huwi thi ab dur ho gaya.
Aap ne mujhe maaf kiya?

Reshma,


Dunya ke sitam ka koi hisaab nahi,
Lekin meri houslo ka bhi jawaab nahi...
   
Reply With Quote