23rd December 2007, 07:50 PM
Kuch na kuch to jaroor hona hai,
Samna unse aaj jo hona hai.
Zindagi aur maut ka matlab,
Tumko pana hai, tumko khona hai.
Itna darna bhi kya hai duniya se,
Jo bhi hona hai who to hona hai.
Uthke mehfil se mat chale jana,
Tumse roshan yeh kona kona hai.
Todo phenko rakho karo kuch bhi,
Dil hamara hai koi khilona nahi.
AankheN khuleeN to jaag uTheeN hasrateN tamaam Uss ko bhi kho diyaa jissay paya thaa khwaab mein
|