View Single Post
Use Begum nahin Ba Gum Kahun
Old
  (#1)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
Use Begum nahin Ba Gum Kahun - 10th September 2014, 08:18 PM

Ghar ke malik ko voh kehti hai nalayak ,
Baat baat per daatne ki hai uski aadat .

Doston main apni biwi ke taano se tang aa gaya hun,
Itne dhaye hai usne sitam ki zindagi se ghabra gaya hun.

Poore mahine ki tankhwah ik pal mein cheen leti hai ,
Zara sa muskura ker bus vo moonh pher leti hai .

Nikumme, Nithallu , Bekoff aur laaloo mere upnaam rakhe hai,
Tumse tau meri sabhi saheliyon ke pati achche hai,

Mahine mein ek roz unko ghumare bahar le jaate hai,
Tum ghar mein pare pare roz nayee nautankee dikhate ho .

Sochta hun vo kaun si ghari thi jab maine is se shadi rachayi thi ,
Dosto us din Begum nahi Ba Gum mere ghar doli mein aye thi ..



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote