View Single Post
Old
  (#14)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
30th July 2015, 03:21 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Bahut khoob silsilaa shuru kiya hai Madhu aapne aur geet sangeet ki baat hai to main to aata hi rahungaa....

Kya zabardast film chuni hai aapne is silsile ke aaghaaz ke liye...iska to ek ek geet dilchasp hai....

Ek interesting fact share karta hoon aapse...Chura liya hai tumne jo dil ko geet mein lead guitarist koi aur nahi balki jaane maane singer Bhupinder Singh hai....

Aur ek dilchasp baat yeh hai ki is gaane ki dhun Pancham da ne ek english gaane se inspire hokar li hai, english gaana tha 'If it's Tuesday this must be belgium' jo ki movie ka naam bhi hai. Yeh movie year 1969 mein aayi thi aur yaadon ki baraat year 1973 mein release huyi thi.


Pancham da ne is gaane ki opening music mein wine glasses ko use kiya hai gaane ke opening seconds ka music wine glasses se record kiya tha which was one of its kind....
Quote:
Originally Posted by mast View Post
Chaliye baat karte hai ek aur gaane ki, yeh gaana movie ke baaki gaano se thoda hatkar hai, yun to 70's ke daur mein bahut naye experiments huye aur us mein sabse ubhar ke aaya woh tha pop music jo western culture mein us daur mein kaafi popular tha...

Gaane hai 'aap ke kamre mein koi rehta hai'.

Is gaane ki baat ki jaaye to ek aur gaane ki baat karni lazmi hai jo Pancham da ka his composed hai ‘Chotisi Ek Kali Kili Thi’ from “Jurmana” is based on Tagore’s famous song called ‘Phool Ganthyo’ whereas ‘Aap ke kamre me koi rehta hai’ – yes, even the pop tune from ‘Yaadon ki Barat’ has the mukhda right out of “Bongla Shongeet”. Of course Pancham da went haywire with the ‘antra’ and based it on Western pop inspired by the Beatles. He came on the music scene in the sixties when the ‘Beatle mania’ was at its peak in the UK.

Ek cheez jo mujhe is gaane mein behad pasand aayi thi vo tha gaane ka integration with dum maaro dum, Pancham da ne apne 1971 mein recorded dum maaro dum ko bakhoobhi se is gaane ke end mein integrate karke is gaane ko truly pop aur fusion song banayaa hai

Lijiye aapke aage yeh nayaab gaana jo ek aur baat ke liye famous hua ki iska recording time 11 min se upar tha....






Song : Aapke kamre mein koi rehta hai
Music : R. D. Burman
Lyrics : Majrooh Sultanpuri
Singers : Kishore Kumar, Asha Bhosle & R. D. Burman


Aapke Kamre Mein Koi Rehta Hai Ta Ra Ra Ra
Hum Nahin Kehte, Zamana Kehta Hai Ta Ra Ra Ra
Aapke Kamre Mein Koi Rehta Hai Ta Ra Ra Ra
Hum Nahin Kehte, Zamana Kehta Hai Ta Ra Ra Ra
Aapke Kamre Mein Koi Rehta Hai

Hum Aaj Udhar Se Nikale To, Bade Intazam Se
Gira Raha Tha Koi Parda, Haye Sare-Shaam Se
Udhar Aap Ki Photo Se, Saji Deewaar Pe
Padaa Hua Tha Ek Saya, Bade Aaraam Se
Aapke Kamre Mein Koi Rehta Hai

Magar Jo Ek Din Main Guzri, Gali Mein Sarkaar Ki
Tabhi Se Chalti Hai Dil Pe, Haye Talwaar Si
Dabi Dabi Halki Halki, Hasi Ki Tanaav Mein
Machal Rahi Thi Chudi Bhi, Haye Chankaar Si
Yeh Na Samjho Koi Gafil Rehta Hai

Ta Ra Ra Ra
Hum Nahin Kehte, Zamana Kehta Hai
La La La La Aapke
Na Na Aapke
Na Na Na
Aapke Kamre Mein Koi Rehta Hai

Agar Main Kahu Jo Dekha, Nahi Tha Woh Koi Kwaab
Padaa Tha Table Pe Chasma, Woh Kiska Janaab
Gore Gale Mein Woh Muffler, Tha Kis Hasin Ka
Zara Haath Dil Pe Rakh Ke, Humen Dijiye Jawaab
Aapke Kamre Mein Koi Rehta Hai

Dil Mil Gaye To Hum Khil Gaye
Ke Dil Dil Mile Jahan Mein Kabhu Kabhu
Are Haan Haan, Are Haan Haan
Are Haan Haan, Are Wah Wah

Dil Mil Gaye To Hum Khil Gaye
Ke Dil Dil Mile Jahan Mein Kabhu Kabhu
Are Haan Haan, Are Haan Haan
Are Haan Haan, Are Wah Wah

Yaaro Ke Liya / Haa
Hai Meri Dua / Haa
Aa Jaaye Woh Din, Gale Milke Beete Jawani
Tumko Bhi Mile Haa
Din Bahaar Ka Haa
Raat Bahaar Ki, Yunhi Jhoome Yeh Zindagani

Dil Mil Gaye To Hum Khil Gaye
Ke Dil Dil Mile Jahan Mein Kabhu Kabhu
Are Haan Haan, Are Haan Haan
Are Haan Haan, Are Wah Wah

Dum Maro Dum
Meet Jaaye Gum
Bolo Subah Sham
Hare Krishna Hare Ram

Hare Krishna Hare Ram
Hare Krishna Hare Ram


Bahut bahut shukriya anu...apne to mahfil me rang bhar diya ho jaise..bahut hee dilchasp baatein share ki hai...aur gana bhi bahut khoobsoorat hai wakai...aap yoon hee aate rahein aur apne khazane me se ye jankariyan hamare sath baantte rahein....yahi guzarish hai.........



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote