View Single Post
Majaaz saheb ki ek ghazal
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Majaaz saheb ki ek ghazal - 3rd June 2014, 08:46 AM

Jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai
nazar aap hii se milaanaa bhii hai

muhabbat kaa har bhed paanaa bhii hai
magar apnaa daaman bachaanaa bhii hai

jo dil tere Gham kaa nishaanaa bhii hai
qateel-e-jafaa-e-zamaanaa bhii hai

ye bijlii chamaktii hai kyuN dam-ba-dam
chaman meN ko’ii aashiyaanaa bhii hai

Khirad kii ata’at zaruurii sahii
yahii to junuuN kaa zamaanaa bhii hai

ye duniyaa, ye aqbaa kahaaN jaaiye
kahiiN ahl-e-dil kaa thikaanaa bhii hai!

mujhe aaj saahil pe rone bhii do
ke tuufaan meN muskuraanaa bhii hai

zamaane se aage to baRhiye “Majaz"
zamaane ko aage baRhaanaa bhii hai

_Majaaz




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote