View Single Post
Main Shayar to nahin .................
Old
  (#1)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
Main Shayar to nahin ................. - 13th January 2013, 10:08 AM

Dosto Namaskar, yeh meri 150th Post hai SDC per , socha ik naya kahyal pesh
karun. Umeed hai apko pasand ayega....

__________________________________________________ _________________
Main shayar to nahin per is galatfahmi mein jeeta hun,
Mujhme hai dard samaya hua aur apne Ashk peeta hun.

Main shayar to nahin per kabhi 2 bhavnao ke bhav mein beh jata hun,
Aur alfazon ke zariye bhav pravah karne ki koshish karta hun.

Main shayar to nahin per kabhi 2 jab dil pe chot main khata hun,
To vedna aur samvedna ko shabdon mein dhal kar likh deta hun.

Main shayar to nahin per jab mera dil machalta hai,
jazbaaton ke saath main chalta hun unhe ik aks main deta hun.

Main shayar to nahin per jab dil mein khumar aata hai ,
Ya mujhe kisi pe pyar aata hain main baith ke do shabd likh deta hun.

Main shayar to nahin per jab dil mein tarang si uthti hai,
Aur man mein nayi umang jagti hai bus kuch ashar kah dalta hun.

Main shayar to Nahin per Jab koi mujh pe prahar karta hain,
Aur koi apna hi waar karta hain wo dard siyahi se udelta hun.

Main shayar to Nahin per jab khud se anjaan main ho jaata hun,
To Apni penchann main dhundata hun aur ik nayi kavita likh dalta hun.




Sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 13th January 2013 at 10:57 AM..
   
Reply With Quote