View Single Post
Ab aagey
Old
  (#62)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Ab aagey - 23rd August 2015, 09:32 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Praveen ji

1. dil ki baat maan.ni chahiye ya dimaag ki ?
2. jab kabhi aap khud ko kahin kisi baat par kamzor mehsoos karte hai to kis tarah khud ka housla banate hai phir ?
Adaab Sunita ji

Dil aur dimaagh meiN se kis ki suneiN, to maiN yahi kahuuNga ke muamlaa kisska hai. Dil ka muaamla hai to to dil ki baat ko tavajjuh deni chaiye. Aur koi muamla aisa ho jahaN dimaagh ki sunne se faayda hota ho to dimaagh ki sunni chahiye. Misaal ke liye koi rishata hai to usmeiN agar koi masla hai to usmeiN dil ki suneiN to usse aur mazboot banaya ja sakta hai. Dimaagh ki jab sunte haiN to wahaN aksar ego aa jaati hai aur ego nazuk rishtoN ko tabah kar deti hai.

Jab maiN kisi aisi situation maiN khud ko kamzor paata huuN to maiN khud se yahi kehta huuN ke jald hi ye waqt bhi niklega, himmat na haro. Mazboot raho. Jab mere mata-pita jald hi duniya chhod gaye to laga ke ab kiss se dil ki kahuuNga? Kaun raasta dikhayega? Tabhi mujhe ehsaas hua ke ghar meiN sabse bada hone ke naate apne chhotoN ko ab mujhse wohi ummeed hogi jo papa-mummy se hoti thhi. Iss ehsaas ne mujhe taqat di.

Aur kahiye?

Khaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote